kuch SMS Messages1498 messages

Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza Dena
Boht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena
Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
To bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana dena
Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena
Tumhari ye Shararat aaj tak naqsh hai Dharkan per
Dabe paoon chale ana, Mera Jhumka hila dena
Phir is k baad jis k paas b jao, ijazat hai
Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena
Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena
Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
ROSHNI" kab kam hui pata na chala. "KHUSHI"kab gum hui pata na chala. Tumhari "YAAD" me khoye kuch is tarah. "AANKH" kab nam hui pata na chala...
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka rawa bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un me aap ka aks bhi tha
Kal badal kaalay gehray thay
Kal chaand pay laakhoon pehray thay
kuch tukray aap ki yaadoon k
Bari der tak dil mei thehray thay
Kal yaadein uljhi uljhi theen
Or kal tak yeh na suljhi theen
Kal yaad bohat tum ay thay
Kal yaad bohat tum ay thay
Kahin milay tu usay yeh kehna
Main saray arman jala chukka hoon
Jo sholey bharkey thay khawahishon k
Wo ansoyon se bhuja chukka hoon
Kahin milay tu usay ye kehna
K chaak-e-daman ko si raha hoon
Bari hi mushkil se g raha hoon
Dia jo nafrat ka zehar tu ne
Samaj k amrat
Main p raha hoon
Kahin miley to usay yeh kehna
Wo jazbay meray
kuchal gaya hai
Jafa k sanchay mein dhal gaya hai
Na badlay mosam b itni jaldi
Wo jitni jaldi badal gaya hai
Aaj kuch kami hai tere baghair
Na rang hai na roshni hai teray baghair
Waqt apni rftar se chal raha hai
Bus dharkan thami hai tera baghair
Abhi who dard baqi hai
Agarchay waqt marham hai
Magaar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay mein
Dobara dil basanay mein
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi who dard baqi hai
Main kis tarha nai ulfat mein
Apni zaat gum kar doon
K meray jism-o-wajdan mein
Abhi who fard baqi hai
Abhi uss shakhs ki mujh par
Nigaah-e-sard baqi hai
Abhi who ishq k raston ki
Mujh par gard baqi hai
Abhi who dard baqi hai
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
ROSHANI DE KAR DOOB JANA KOI SURAJ SE SEAKHE DIL DEKAR DARD LENA KOI HUM SE SIKHE kuch NA DEKAR DIL LENA KOI UNSE SIKHE SMS LAKER REPLY NA DENA KOI APP SE SIKHE.....
kuchh beete hue lamho se mulakat hui kuchh tute hue sapno se baat hui yaad jo
karne baithe un tamam yado ko to apki hi yaado se shuruat hui
"I REALLY MISSING U "
kuch bholi bisri yadaian
kuch piyari piyari baatain hain
kuch kisey un ki chahat k
kuch lafaz piyar muhabbat k
kuch khas nahi hai mera piyar
per itna aam bhi naa samjhoo
woh dunia ki shikayat kerta hai
per piyar woh mujeh sey kerta hai
us ko nahi maloom mager
woh kho jay ga ik din jab
hum praymi loog hi chahain gay
woh phir sey kahain aabad to ho
woh aansoo aansoo roey ga
jab chahat hamari tarsaye gi
tab hum bhi kahaian gay ab jana
woh yaadaian to diwani thin
woh jhota kisa tha sara
hum ko tum sey piyar nahi
Tum Bin Guzar To Jayegi Zindigi
Per Main Jee Na Paaoongi Tum Bin
Hazaroon Sitaron Ki Bheer Main Bhi Dekho
Yeh Chaand Kitna Tanha Hai Tum Bin
Rahon Kahin Bhi, Kisi Kay Sath Bhi
Per Main Hamaisha Udaas Hoon Tum Bin
Maana Chiragon Ki Roshni Main Hoon Main
Per Meri Zindagi Main Andhaira Hai Tum Bin
Baharon Ka Mousam To Hai Gulshanon Main
Per Pholoon Main Khushboo Nahi Hai Tum Bin
Iss Hansi Ke Kehkahon Main Dekhoo
Mera Dil Ro Raha Hai Tum Bin
Mera Sub kuch To Tum Ho
Main To kuch Bhi Nahi Hoon Tum Bin
Tumhara hamara rishta to aankhon aur palkon jaisa hai, Agar palak kuch der na jhapke to aankh ro deti hai, Aur agar aankh mein kuch chala jaye to palak tadap uthti hai