khuda SMS Messages494 messages

Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai
Kasam khuda Ki Wahin Dhokha Khaya Hai
Kyon Dosh Dete Hein Hum Kanto Ko
Zakham To Humne Phulo Se Paaya Hai
Maang Lenge Tujhe Apne khuda Se Hum
Cheen Lenge Tumhe Har Kisi Se Hum
Mere Siva Tum Pe Haq Nahin Hai Kisi Ka
Na Karna Bewafai Mujh Se Kabhi Varna
Duniya Chod Denge Hum
Hum To Her Baat Ko khuda pe Chor Dete Hai

Totey Na Dil Kisi Ka Dil Apna Tor Dete Hai

me b Insan Hon Pathar to Nahi

Jo Log Har toofan Meri Janib Mor Dete Hai
Kaise Batau Use,

Nahi Isme Koi Meri Khata,

Khel Hai Ye Sitaron Ka,

Ye Chand Tu Use Bata;

Bandish Hai Ye Fizao Ki,

Aa Maangle khuda se Ek Umar Duao ki
Hume Hai Mohabbat Tumse Kaise Tujhe Hum Bataye
Yeh Raaz Bhala Kaise Duniya Se Hum Chhupaye

Eh Sanam Teri Saadgi Pe Fida Ho Gaye Hum
Tera Chehra Yeh Roz Sapno Mein Aakar Hume Sataye

Tumhe Kya Khabar Koi Tumhe Kis Qadar Chahta Hai
Dil Darta Hai Jataye To Kaise Hum Jataye

Dil Ki Har Umang Pe, Mausam Ke Har Rang Pe
Koi Chupke Se Aakar Tera Naam Kyun Likh Jaaye

Tum Basi Hui Ho Humdum Sirf Mere Sapno Mein
Par Tum Zindagi Ki Haqiqat Ho Kaise Hum Batlaye

Mohabbat Ka Koi Imtihaan Lekar Dekho Meri Sanam
Tere Liye khuda Ki Kasam Chir Ke Dil Dikhlay
Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna
Bohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte Rehna

Zara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar Lena
Phir Is K Baab Main Sari khudaai Mangte Rehna

Kabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh Dena
Kabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte Rehna

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati Hai
Kahani Main Zara Si Bewafai Mangte Rehna

Ajab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil Ko
Sakot-E-Sham-E-Gham Se Ham Nawaai Mangte Rehna

Kabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per Rakhna
Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna
bhOoli BiSrii yAdOun Ki KirnOun Ko Saja Kar rOye hAin
Wo Chehra Jab yAad Aaya hUm Shama jAlla Kar rOye hAin

Sath tUmhara Kia chOota Tha dArd Sey Har RiShta tOota Tha
Yeh AanSOo hAin KhUshi K AanSOo tUm Ko Pa Kar ROye hAin

Apni Hii majbOori Thi jO hOnt Hmaray khUl Na Sakay
jAb Bhe Manga khuda Sey Tumhien bUs Haath Utha Kar rOye hAin

yAad hAi Ab Tak Shaam e jUdaii Wo Palkien Bhe Bheegi Thien
"Rashid" Aaj Unhien AankhOn K Khwaab Saja Kar rOye hAin
“Dil ki Batain , bata deti hain , Aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,Aankhen,

Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain Aankhen,

Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain Aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain Aankhen,

Ma na ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain Aankhen,

SAGAR shukar hai , khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain Aankhen
Zamanain bher ki nigahoon main jo khuda sa lagay
wo ajnabi hai mager muj ko aashna sa lagay

najanain kab mairi duniya main muskuray ga
wo aik shakhs k khaboon main bhi khafa sa lagay

ajeeb cheez hai yaro yeh manzaloon ki hawas
k rahzen bhi musafer ko rehnama sa lagay

dilay tabah! tera mashwara hai kiya k mujhay
woh phool rang sitara bhi bewafa sa lagay

hoi hai jis say manawer her aik aankh ki jheel
woh chand aaj bhi mohsin ko kamnama sa lagay
Koi insan kisi insan ko kya deta hy

Aadmi sirf waseela hy sub khuda deta hy

Wo takleef b dy mujhko tu karon Shukar ada

Koi Apna he smajh kr to saza deta hy..
Zahid Magan hai khuda Dhondne main...

Yahan Aadmi he khuda ho gaye hain...

Aati nahi thi Jinhen Badshahi...

Wo Badshah b Gada ho gaye hain...

Ab sadgi pe hanse ga zamane...

Yahi soch k be sada ho gaye hain...

Jo log the kal Misaal-e-Zamana...

Wo ab Misaal-e-saza ho gaye hain...

Haq Dosti k Nibhate Nibhate...

Haq Dushmani k Ada ho gaye hain...

Duaa ki Tarah the Labon k Tabasam...

Kuch din se ye Bad Duaa ho gaye hain.../
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai
Jab Tum Kareeb Se
Meri Taraf Deakhtay Ho
To
Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
Aur Jab
Tum Musuratay Ho
To
Tumhari Is Muskurahat Se
Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
Kaash!
khuda Karay
Tumhari Aankhoun Ki
Aur Hountoo Ki Muskurahat
Sada Youn Hi Qaim Rahay