QAADIR khuda KI ZAAT HEY QUDRAT HUSAIN HAIN. SARI HAQIQATON KI HAQIQAT HUSSAIN hAIN. SAJDAY KO TOOL DEK NABIYE BATA GAEY. MERI IBADATON KI IBADAT HUSSAIN HAIN
BOLO TO KARBALA K HUSSAINI SIPAHIO
KISS BAAT PER AJAL KO GALE SE LAGA LIA
BARH BARH KAR BARCHIYON SE LIPATNA DALIL HAI
TUM NE khuda HUSSAIN A.S KI ANKHON MAIN PA LIA
Hussain Mera
Hussain Tera
Hussain Rab ka
Hussain Sab Ka
Hussain Gar na
Shaheed Hota
Tou Aaj Ghar Ghar
Yazeed Hota
khuda k Ghar Main
Azaan Na Hoti
Nabi[S.a.w] Ki
Sunnat Ada Na Hoti
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT khuda ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay khuda ke azaab main
Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain