waqt jab humein
kareeb laya,
tab pyaar ne apna beej boya.
waqt woh bhi
kya haseen tha,
jab dil humne
khoya thaa.
najar ne jamm yun peelaya tha,
ki nashein main jhuma saara jahan thaa.
pyaar humein
kareeb yun laya
ki,
har sapne
ko aashiyan mil gaya.
jeevan humhara naam tumhare ho gaya,
aur saath pheeron ne indradhanush
ke raangon se isse bhar diya.