Her Roz Naya Zakham-E-Judai Na Dia ker
Milna Jo Nahi hOta Dikhai Na Dia ker
Ab Teri Rafaqat Mein Sadaqat Nahi Milti
Ab Apni Mohabbat ki Safai Na Dia ker
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya ki Wohi Ronaq
Dil ki Wohi Tanhai
Yeh Raat ki khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
kia Anjuman Aarai
Do Roz ki Mehfil hai
Ek Umer ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
kia kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Huy Ham
Na Toot ker Pyar ker Sake Na Ro Sake Ham
Wo Bhi Din Thay Roz Mila kerte Thay
Yeh Bhi Din Hai k Milne ko Taras Gaye ham
Titliyon ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani
Her Aik Se Lerna Uski Aadat Thi Purani
ham Uske Saath Chal Diye Yeh Jante Huy Bhi
Raste Meion Chor Dena Uski aadat Thi Purani
Aagosh-E-Sitam Mein hee Chupa Le Aa ker koi
Tanha HonTarapne Se Bacha le Aa ker koi
Sookhi HainBari Dair Se Palkon ki Zuban
bas Aaj To Gee Bhar k Rula De Aa ker koi
khushbu k bikhernay Mein kuch Dair To Lagti hai
Her Baat Samjhnay Mein kuch Dair To lagti hai
Jab Abar Hee Gehre Hon Her Tarf Andheray Hon
Phir Chand Nikalne Meinkuch Dair To Lagti hai
Jis Zakahm MeiN Shamil Ho kuch APno ki Enyaaat
Uss Zakham k Bharne Mein kuch Dair To Lagti hai