Her Roz Naya Zakham

Her Roz Naya Zakham
Her Roz Naya Zakham-E-Judai Na Dia Ker
Milna Jo Nahi hOta Dikhai Na Dia Ker
Ab Teri Rafaqat Mein Sadaqat Nahi Milti
Ab Apni Mohabbat Ki Safai Na Dia Ker
  

Jun, 02 2010     156 chars (1 sms)     3014 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mein is se barh kar zabt ki misal kia deta,

woh mujh se lipat kar ro raha tha kisi aur k liye...
Dekh Main Ho Gaya Badnaam Kitaabon Ki Tarah




Meri Tash-heer Na Kar, Ab To Jala Dey Mujh Ko!
Maut Ki Aakhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun
~ GHaLiB ~



Zindagi Bhar Ka "Khulasa" Issi Awaaz Mein Hai...
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, -
Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, -
Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, -
Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho. -
Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye


MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye



In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye
abhi se soch le kay muhabaat fanna kar deti hai,

agar anjaam se darte hai to agaz mat kar..
Bandh raka hai teri yaad ney Mazi sey muje. Warna guzrey hue lamhat mey kia raka hai. Tu na mil pahe thu aur Khuda sey mangoon. Tu alagh go tho meri zaath mey kia raka hai.
Apni Be-Basi per Aaj Rona Aaya
Dosron Ko Nahi Mein Ne Apno Ko Aazmaya
Her Aik Ki Tanhaoi Door Ki Mein ne
Lakin Khud Ko her Mor Pe Tanha paya
Husn-e-Soorat Ke ... Talab-Gar Buhat Hain...

Husn-e-Seerat Ka... Parsitar Hai.. Koi Koi
jhoot bool kar tu ne use apna mahwar tu bana laya hai"ami"

kal wo teri zindgi ka ek hisa bna tu kaya ho ga soch le..
TUme yaad hai?? Ibtadai mulakaton main mai kaha kerta tha,muje tumhare jism say nhi,tumhari rooh say mohabat hai,,kya wo jhooot tha?
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka