suno logon meri aankhain kharido gey?? mujhey ekkhuwab ka tawaan bharna hai ek esa khuwab tha jo jaagti aankhon ne dekha tha magar dekhey huwey us khuwab ki tabeer ulti thi nahi shikwa kisi se,apni he taqdeer ulti hai jo ab tak ho chuka hai mujhko wo nuqsan bharna hai ab aankhain bech ker he, khuwab ka tawaan bharna hai SUNO LOGON meri aankhain kharido gey??
rozana ki bhag daur mey hum sub yehi intzar ker rahey hain k hamari zindagi ka ek din essa aaega jab hamari tamam khuwaishain poori hojaengi, haan din to aaega, zaroor aaega, magar khatam khuwaishain nahi balkey zindagi hojaegi.
ek mard or ek orat bike pe ja rahey thay to policewaley ne rokkar poocha ye orat tumhari kia lagti hai ? mard ne jawab dia k, iss ka susar mere susar ka baap hai. batao orat or mard ka aapus mey kia rishta hai ?