k SMS Messages22161 messages

Q raat ki rait py bikhray huye,
Taron k kankar chunti ho,
Q sannatay ki silwat main,
Lipti awazain sunti ho,
Q apni pyasi ankho ki,
jhalar main khab proti ho?
Q roti ho?
Ab kon tumari ankho main,
Sadyo ki need undailay ga,
Ab kon tumari chahat ki,
Haryali main ghul khailay ga,
Ab kon tumari tanhai ka,
An dekha dukh jhailay ga?
Ab aisa hy.....
Ye rat musallat hy jb tk,
Ye shammain jalti hain jb tk,
Ye zakhm jaha tk chubtay hain,
Ye sansain jb tk chalti hain,
Tum apni soch k jangal main, rah bhatko aur kho jao...
Ab so jao... O_o
Badnaam Zamane main Mohabbat Nahi karte
~
Dil Wale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi karte
~
Ek Baar Jisy Chaha Sada Uss ke Rahe Phir
~
Ham Log Amanat Main khianat Nahi karte
~
Tanhai Main karlete Hain Yaad Aansoo Baha kar
~
Zaahir kabhi Hum Apni Ebadat Nahi karte
~
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jay Ga Tum ko
~
Hum Sirf Dekhawe ki Mohabbat Nahi karte
~
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liye Ghazlain
~
Har Shakhs Pe hum Aesi Enayat Nahi karte... ;->
Ab WoH Samjha Meri Chamkati H0i Aankh ka Raaz . . .



k Main Rota NAhi Aansu ko Qaid kr Leta Hon . . . !
Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jatay hay.
Tum bhi suno Tum shayed samajhti ho keh
tumharay lafz main siraf parhta hoon
Tumhari awaz siraf sunta hoon
Tumharay naqoosh siraf dekhta hoon Aour tumhara
wajood siraf choota hoon Ghalat bilkul ghalat
Tumhain kia patta keh tumharay lafzon ki cheekh .
Tumhari aawaz ka karb.
Tumharay naqoosh ki pukaar Aour.
tumharay lums ki rooh Meri zaat ki mawaraai tehon
ki kitni gehri parton main utar ke Tumhian meray
andar kiss kiss tarah
Amar kar detay hain....
Tanhaayi mein na kabhi jiya hai maine,
Jab tanhaayi hote hai hum mein , tere saaye se jiya hai maine
Tere yaadoon mein guzaare hue paloon ka agar koi hisaab hota,
khuda ki kasam tab ye saara jahaan unn paloon se bhara pada hota.
Aanaa Passand kabhi Muhabbat nahin kartay..!!

Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo khud ko "Maar" Detay hain..!!
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
Tere aankhoon mein aansoo aaye toh roone lagta hai mera dil,
Dard-e-dariya tujhe choone se pehle,
meri dhadkano ko unnpe vaarne lagta hai mera dil.