Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...
Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...
Muddat huee
kitaab-e-muhabbat shuru
kiye...
Lai
kin mein pehlay baab say aagay nahin barha...
Lambi musafatein hain magar is swaar
ka...
Paaon abhi ra
kaab say aagay nahin barha...
Logon ney sang-o-
khisht
k qilay bana liye...
Apna mehal to
khawab say aagay nahin barha...
Tool-e-
kalaam
k liye mein ney
kiye sawaal...
Wo mu
khtasar jawab say aagay nahin barha...