hi na SMS Messages709 messages

mujhay fursat hi fursat ha..
mujhay fursat hi fursat ha..
saweirey jald uthna ha..
na shab ko deir se sona..
kahein baahir nahi jana..
kisi se bhi nahi milna..
na koi fikr laahaq ha..
na koi YAAD baaqi ha..
magar ye aakhri misraa..
zara sa jhoot lagta hai..!!
KIS KO MALOOM THA
Yonhi chaltay hoay raston main kai hum safer jo milay
Aur bichertay gaay
Aatay jatay hoay mosmon ki tarhan
App hi apni gard e safer hogaay
Na kabhi main nay phir mur ker dekha unhain aur na socha kabhi
Wo kahan kho gaay
Jo gaay,so gay
Phir yah kaisay hoa
Yon hi ik ajnabi,dekhtay dekhtay
Dil main utra,nazar main sama sa gaya
Aur dhanak rang jazbay saja sa gaya
Jaisay badal koi,bay irada yon hi,meri chat pay ruka
Aur bersay bina is per thera raha
Kia tamasha hoa,samnay thi nadi aur koi tashna lab
Is ko takta gia aur pyasa sa raha

Aik lamhay main simtay gi yah dastaan
Kis ko maloom tha!tum milo gay mujhay is tarhan bay guman
Kis ko maloom tha!
Hamare sabra ka ya rab! koi inaam ho jaye
are rukh se hate parda or hamara kaam ho Jaye

bharam rakhna hai saqi ka gire hai dagmaga kar hum,
agar hum hosh mai rah jaye wo badnaam ho jaye,

hamara naam to aaye kabhi najuk si hotho pe
koi pegaam na bhejo koi iljaam ho jaye,

nikal aaye jo shab ko bhi to roshan ho sabhi manjar,
bikhre julf to din mai gahri shaam ho jaye

karamat de mere maula mere fun ko, zara kuch yu jo utre un ki aankho mai idhar unka ilhaam ho jaye,

koi pahucha de apni arz ko un tak kabhi Rahul,
hamari har gazal unke liye paigaam ho jaye
Yeh mere aansu jinhe koi pochne wala bhi nahi
- Koi aanchal enhe milta to sitare hote.
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Thakan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Kiya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin main doob ke rooz ubharta hoon
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai
Saarey jaha main aisi ankhien nahi
Jin akhoon pe main marta hoo
In ankhoo main koi ansoo na aaye koi
Kabhi koi ghum na pass aaye koi
Sada muskuratien rahey yeh
Har dum yeh dua main karta ho hoon
Kiya baat kaho un ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi nahi Main Bhi nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi nahi Main Bhi nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi nahi Main Bhi nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi nahi Main Bhi nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi nahi Main Bhi nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi nahi Main Bhi nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi nahi Main Bhi nahi
Mere Zarf Ka Ye Qaso0r Tha Main Dard-e-Dil Na Chupa Saka,
Mare Zarf Ne Bhi DaGha Dia Main To Zarf Bhi na Bacha Saka,
Mara Nafs Ik Alaao Tha Meri Ro0h Tak Ko NiGal Gaya,
Main Khawhishon K Is Alaao Ko Na Jala Saka Na Bujha Saka,
Jo Di Dostoon Ne Aziyatain, Thi Wo Dushmano Ki Anayten,
Main Tamam Umar Darta Raha Koi Dost Phir Na Bana SakaH
Mujhe Muflasi Ne Thaka Dia,
Mere Walwalon Ko Sula Dia,
Mujhe LouG Ye Keh Kar Juda Ho0wy Ye To Kuch Bhi na Bana Saka ..
is sadagi pay kon na mar jaye ay KHUDa
Waar karte hain aur hath main talwar bhi nahi,

Chup chup ke humara deedar karte hain woh,
aur poocho to kehte hain ki pyar bhi nahi....
Tu Nay Kaha K Ishq Tu Dhong Hai
Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
Teray Hont Hansna Bhool Jaein
Teri Aankh Pur Num Raha Karay

Tu Uski Batein Kia Karay
Tu Usko Dekh K Ro Paray

Tujhay Hijr Ki Woh Jhari Lagay
Tu Milan Ki Har Pal Dua Karay

Teray Khuwab Bikhein Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay

Tu Nagar Nagar Phira Karay
Tu Gali Gali Sada Karay

Tujhay Ishq Ho Phir Yaeen Ho
Usay Tasbihon Pay Parha Karay

Mein Kahon K Ishq Tu Dhong Hai
Tu Nahi nahi Kiya Karay
larzish nazar maiN lahjay maiN luk''nat ajeeb thei
is awalee''N visaal ki wahshat ajeeb thei

roshaN huwei usi se usi se bikhar gaa''ee
shabnum ko aaftaab se nisbat ajeeb thei

aansoo dee''ay per aankh ko ronay ki khoo na de
aiey badhsa-e-gham ye anaa''yet ajeeb thei

khirki maiN aa k chaand ne jhapki nahi palak
kal shab meray makaa''N maiN suhbat ajeeb thei

sahil pe they tu rait ka jaa''doo tha har taraf
kashti chali tu sajar ki dahshat ajeeb thei

dil maiN na rah sakay jo kahiN tu kahi na jaa''ey
amjad shikast-e-dil ki haalat ajeeb thei