hi na SMS Messages709 messages

Kisine Na Samjha Hume
Kisine Na Jaana Hume
Aapse Ki Mohabbat
Aapne Bhi na Pehchana Hume
Khafa Rah Kar Tum Bhi na Rah Paoge
Jaan To Jaegi Hamari, Saans Tum Bhi na Le Paoge
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Aapki yaad aaye to dil kya kare,

Yaad dil se na jaye to dil kya kare,

Socha tha sapno me mulaqat hogi,

Magar nind hi na aaye to hum kya kare
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho
Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan
Mujhe APni Hee Wafaon Mein Doob Jane Do
Bohat Nahi To Thori C Hee Saza Pane Doo
Mein Janta Hon Mohabat Ab Nahi Hai Tumhe Mujhse
Magar Mein Khush Tha To Mujhko Yeh Faraib Khane Do
Mein Bhool Jaon Tumhe Yeh To Ho Hee Nahi Sakta
Tum Bhulana Chahoo Mujhe To Tumhain Bhool Jane Do
Meri Wafain Tumhain Kal Bohat Rulain Gee
Meri Wafa Pe Chaloo Aj Tumhain Muskurane Do
Badal Giyen Tum Kese Yaad Kuch Bhi nahi aa raha
Mein Jab Sochta Hon Bas Tumhain To
Tumhain Bhi Kuch Meri Yaad Aa Jane Do
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Ye Sar Ko Na Jhukane Ki
Badan Se Qasam Leta Hy
Dilo''n Ki Har Tamanna Pr
Ye Kaari Zarb Hota Hy
Aur Is K Har Taqaze Mein
Bala Ka KArb Hota Hy
Ye Dunya Ki Kisi Talkhi Se
Derne Bhi nahi Deta
Ye JEene Bhi nahi Deta
Ye Marne Bhi nahi Deta
Agar Jeewan Ki Raaho''n Main
Jo Chahat Ko Kabhi Chaho
Rahat Ko Kabhi Chaho
Kisi k Saanp Lafzo''n Se
Isay Daswana Parta Hy
Mohabbat Kerne Se Pehle
Isay Dafanana Parta Hy
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Keroungi Kia Jo Hogaye Mohabbat Mein Nakaaam??





Mujhe To Koi Aur Kaam Bhi nahiii Ata
Nafrat Si Ho Giye Hai Ab To Mujhko Tere Naam Se

Nafrat Si Ho Giye Hai Ab To Mujhko Subha-O-Sham Se

Nahi Acha Lagta Mujhko Koi Tera Naam Lene Wala

Nahi Acha Lagta Mujhko Koi Wafa Ka Piyaam Dene Wala

Pyar Mein Kabhi Bhi na Doobna Tum Itna Mere Dost

Pyar Mein Kabhi Bhi Had Se Na Guzerna Tum Mere Dost

Dua Hai Meri "Kaash" Ab Zindagi ka Chirag Ab Gull Ho

Dua Hai Meri Lakin Koi Tujhsa Bewafa Hargiz Na Ho
Jisko Mangy Ga Tujhko Wo Mil Jaye Ga
Bas Sirf Tujhse Tera Yeh Dil Jaye Ga
Dil Bhi nadaan Hai Kyun Pereshan Hai
Usko Dekhe Ga To Khud Hee Khil Jaye Ga
Ishq-O-Masty Ko Tu Itna AAsan na Samjh
Aaye Ga Tujh Pe Jab Tu bhi Hil Jaye ga
Bewafai Ka Koi B Merham Nahi
Rafta Rafta Zakham Khud Hee SIl Jaye Ga
Jab Chale Ga Tu Kanto Pe To Phir
Jism Tera Kharashon se Chil Jaye Ga
Iska Socha bhi na tha ab k jo tanha guzri
Wo qayamat hee gahnimat thi jo yakja guzri
Aa gale laga lon mere pyare dushman
Ek meri baat nahi tujh pe bhi kia kia guzri
Mein to sehra ki Tapish Tashna Labi bhool gaya
Jo Mere Ham-Nafson per lab-e-derya guzri
aaj kia dekh k bher aai hain teri aankhain
ham per yeh ghari hamesha guzri
meri Tanha safri Mera Muqadar Thi "Kaash"
Werna Iss Shehr-e-Tamana se to Dunia Guzri