dil SMS Messages2810 messages

Aaina Hoon Main Mere Samne Aakar To Deakho
Khud Nazar Aaogi Zara Aankh Mila Kar To
Deakho

Mere Gham Mein Meri Takdeer Nazar AatiHain
Dagmaga Jaogi Mera Dard Utha Kar To Deakho

Yu To Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Raaha Se Jaakar To Deakho

dil Tumhara Hai Main Yeh Jaan Bhe Dedon Tum Par
Bas Mera Saath Zara dil Se Nibha Kar To Deakho

Mouth Barhaq Hai Magar Tum Se Waada Hai Mera
Lout Aaoga Tum Ek Bar Bula Kar To Deakho
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Chaha hai tuju ko chahat sy zayda..Samja hai tuj ko mohabbat sy zayda..Ye main janta hoon ya dil janta hai.......
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Kabhi dil na mera liya hota
Ya wada hi na kiya hota
Dena mujhe jo zakhm tha
Itna gahra to na diya hota

Kiska gunaah kahain isko
kis kambakht se gila hota
hota khuda hi meri taraf
ya sanam na bewafa hota

iska bhi koi hisaab hai
rishta koi to raha hota
Jab ashk hi bahe the to
ye dil bhi bujh gaya hota

"Meri aah sun ke wo bola
GHam-e-zikr kyun kiya hota
dard-e-dil ku''redne se to
behtar tu mar gaya hota"
Nighaa-e-mast ke mastiaayyn.....
kisi BAdNASEEB pe daal daiiiii....,,
kisi ''dardmand'' k To kaAM aaa...
kisi dobtaiii ko uchhhaaal daiiii....
maI iSI KHAYAAAL SE ajj tak,....!!
tUghaI "dil"ke baat na batasaka,
tO jo dard-e-dil se haiii baikhabar,
kahiN "MUSKURAA" K Naa TAal dai.
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraag bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto