dil SMS Messages2810 messages

Na dekho sapney kisi key
Is qadar key
Jab woh toot jayein
To phir is ka
Dukh bhi na hoo

Naa chahoo kisi ko
Is qadar key
Jab woh root jayein
To phir mananey wala
Koi bhi naa hoo

Naa mangoo kisi ko
Is qadar duaoon mein key
Jab woh na miley
To ruswayeee key siwa
kuch bhi na hoo

Naa dekho kisi ko
Aisi nazron sey key
Jab woh jayeey to
Dekhney wali
Koi nazar naa hoo

Naa basaoo kisi ko
Apney dil ki nagri mein key
Jab woh rukhsat ho to
Yeh dil ki duniya
Abad hi naa hoo
Tum ney samja he nahi mari chahat ko kabi
Tum ney chaha he nahi mari muhabat ko kabi
Sochta hoon main jaan leeta tumhey
Main ney perkha nahi tari fittrat ko kabi
Mana ik umar kati yadoon main chaltey hoey
Wo marasam na rahey rahoon pe chaltey hoey
Ab hey tanhaian aur perchaian baki
Ho gey ham sey juda wo hamsafar marey sathi
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhey
Main ney jana hee nahi tari hasrat ko kabi
Ye safar piyar ka tanha kat“ta hee nahi
Koi bee per hoo dil machalta hee nahi
Tum ko maloom hey tum dulruba hamarey they
Piyar ke rahoon main tum hamsafar hamarey they
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhain
Main ney socha hee nahi tari ulfat ko kabi
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,
tab to sirf khilone tuta karte the.
Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,
titli ko pakad ke uchhla karte the.
Paoon maar ke khud barish ke pani mae,
apna aap bhigoya karte the.
Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,
bachpan mein to dil khol ke roya karte the.
Sham ne lipat kar pyar ka izhar kiya,
Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.
Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,
dil lagi ne dilkashi se waqt ko guljar kiya.
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
teri yaad ki baraf baari ka mosam
sulagtaa raha dil k under akaylay
irada tha ji lungi tujhse bichar kar
guzarta nahi ik DECEMBER akaylay!!
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Pyar se pyari koi majburi nahi hoti, Kami apno ki kabhi puri nahi hoti,dilon ka juda hona ek alag baat hai, nazron se dur hona koi duri nahi hoti
Meri zindagi ki zarurat ho tum.chaha hai dil ney jisko wo chahat ho tum.Manga hai dil ney jisko wo khawahish ho tum.Mehkaya hai jis ney zindagi ko.wo khushboo ho tum.ankhon main jo basa hai wo haseen khawab ho tum.dil main dharakney wali wo dharkan ho tum.Mera dil bhi ho tum, meri jaan bhi ho tum, mera pyar bhi ho tum.
Mera dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Nadiyon Se Kinare Chhut Jaate Hai,
Aasman Se Tare Toot Jaate Hai,
Zindagi Ki Raah Me Aksar Aisa Hota Hai
Jinhe Hum dilse Chahte Hai Wahi Humse Rooth Jaate Hai..
dillagi Doston Ke Naam Hoti Hai,
dildari Dosti Ki Shaan Hoti Hai,
Kahin Bhi Raho Par Rahoge dil Me
Mere Yehi Sachi Dosti Ki Pehchan Hoti Hai..