meri afsurdagi se pareshan na ho
tu meri talkhioon ka sabab to nahi
teri aankhian to meri hi damsaaz hian
thin kabhi ajnabi lekin ab to nahi
tujh ko meri musarat muqadam sahi
tera ghum mujhe ko waja e tarb to nahi
tera ahsan hai tu ne mere liye
apni palkoo se rahoon k kante chune
khud kari
dhoop main reh kar mere liye
tu ne zulfoo k shadab saaye bune
meri khatir zamane ko pagal kaha
meri khatir zamane k tane sune
tu meri zindahi hia magar jaane man!
ab wo ishq o muhabat ki rasmain nahi
mere dil main kai ghaoo aese b hian
jin ka darmaa teri dastaras main nahi
ik ghum jis ki shidat hamagir hia
tere bas main nahi mere bas main nahi