dhoop SMS Messages74 messages

Raat sunti rahi mein sunata raha
Dard ki dastan mein batata raha
Log logon say chahat nibhatay rahay
Ek wo tha mera dil jalata raha
dhoop chaoon si uski tabiyat rahi
Wo nigahein milata churata raha
Ik mein he piyasa raha ay dost
Log peetay rahay wo pilata raha
Dil k mehman khanay mein ronaq rahi
Sunehri dhoop Barsaat ke baad
Sunehri dhoop barsaat k bad,
thori si hansi her baat ke baad,
usi tarah ho mubarak aap ko 2007, 2006 k baad.
Wish u a Happy new year.
Sunehri dhoop bersaat ke bad,thori si husi her baat ke baad,
usi tara ho mubarik aap ko 2007, 2006 ke baad.
Wish u a Happy new year
December
Abhi lamhe
Nahin bikhre
Abhi mosam
Nahi bichre
Mere kamry ki
Thandak me
Abhi kuch dhoop
Baqi hay
Meri diary k
Kuch safhay
Abhi kuch keh
Nahin paye
Mere angan k
Sab poday
Abhi bhi
Gungunate hain
Mere be-jaan
Honton per
Abhi muskaan
Waisi hay
Kisi k laot aanay
Ka
Abhi imkaan baqi
Hay
December
Baat botoon
Main,
Agar tum maan
Jao
December
Tehar jao….!!!
Tehar jao…
Enjoy the last
Day December
1) Kaun Se Shakhs Ka Birthady Her Saal Nahi Atta?

2) dhoop Mein Kya Khushk Nahi Ho Sakta?

3) Kaun Sa Phal Meetha Honay K Bawajood Frookht Nahi Hota?

4)Kaun Si Cheez Hai Jiss Ka Naam Lo Toot Jati Hai?

5) Woh Kya Cheez Hai Jo Baghair Paoon Ke Bhagta Hai Or Lout Kar Nahi Atta?

Its Challange To All
Reply On My Number If You Can....
Main Nay Uss Say Poocha Kia dhoop Main Barish Hoti Hai
Yeh Sun Ker Wo Hansanay Lagi
Aur Hanstay Hanstay Ronay Lagi
Phir dhoop Main Barish Honay Lagi
Yeh Jo dhoop Main Baarish Ho Rahi Hai
Sooraj K Khilaaf Saazish Ho Rahi Hai

Rait Pani Main Hal Ho Nahi Sakti
Yeh Tabiyat Badal Nahi Sakti
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Mohabbat Jeet Hoti Hai

Magar Ye Haar jati hai

Kabhi Dilsoz lamhon se

Kabhi Bekar Rasmon se

Kabhi Taqdeer Waalon se

Kabhi Majboor Qasmon se

Magar Ye Haar Jati hai

Kabhi ye Phool jesi Hai

Kabhi Ye Dhool Jesi Hai

Kabhi ye Chand Jesi hai

Kabhi ye dhoop Jesi hai

Kabhi Masroor Kerti Hai

Kabhi Ye Rog Deti Hai

Kisi Chain Leti Hai

Kisi ko sukh deti Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai

Magar Ye Haar Jati HaI
mai rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi ..............
Main soun to khawabon main ho tum
Main jagoon to mere khyalon main ho tum

Main nazar uthaoon to meri ankhon main ho tum
Main chaloon to meri manzil ho tum

Main likhoon to mera qalam ho tum
Main parhoon to meri ghazal ho tum

Main gungunaoon to mera geet ho tum
Main sunaoon to meri dastaan ho tum

Main dhoop main hoon to mera saibaan ho tum
Main raat main hoon to meri sahar ho tum

Main sochoon to mera khayaal ho tum
Main mangoon to meri DUA ho tum
Aetebar Tootey tu...!
Aetebar Tootey tu...!
Aetebar Tootey tu...!


Wo bhi aesay logon par
Jin ku apna ham janain
Jab bhi gham sey bojhal hon
Un ku mehrbaan manain
Aetebar Tootey tu.....
Aesay zakhm miltey hein
Jo kabhi nahin bhartey
Mehraban say''e jab
Ham sey rooth jaen tu
Aisi dhoop milti hey
Jis mein rooh jalti hey
Aetebar Tootey tu.....
Dil key aaieney ju hein
Wo bhi toot jatey hein
Aks wo ju apney hon
Wo bhi rooth jatey hein
Aetebar Tootey tu...
Aesay zakhm miltey hein
Aesi dhoop milti hey
Aisey aks khotey hein
Loog hans bhi lein shayad
Dil hamesha rootey hein
Aetebar Tootey tu...!