ankhe SMS Messages196 messages

Kaho ab kia kahon tum se
Bataao Kia likhoon tum ko
Mujhe tamheed do koi
Mujhe umeed do koi
Nia ik lafz ho koi
Jahan se baat chal niklay
Meri mushkil ka hal niklay
Bataao lehja kaisa ho
Keh tum se baat kerni hai
Tum apni roshan ankhon ko
Ager kholo to main likhoon
Tumhare lub se aye ga
Sukhan mein kateela pan
Tumhari ankhein day dein gii
Takhatub ko nasheela pan
Kaho ab kia irada hai????
Mujhe izhaar kerna hai
Keh betaabi ziada hai!
mujhy izhaar karna hai
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AankheN BOHAT SATATI HAIN
Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain

YEH AankheN BOHAT SATATI HAIN
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AankheN BOHAT SATATI HAIN

YEH AankheN BOHAT SATATI HAIN
aankhein masroof ho jati hain, bhula dete hain log
kahaniyan mashoor ho jati hain,bhula dete hain log......

ye kya manjar he yaaro
koi marta he to jala dete he log

humse nahi he kuch gila to bato
kyun ruswa kar jate he log

ye sab to kismato ka khel he
varna kahan juda hona chahate he log

hum tum rahe sada dost
ye bhi to dekh nahi pate he log
Jab wo samney aati hai

sansein ruk jati hein
ankhein jhuk jati hein

jab wo samney aati hai

Dahrkanoon mein bas jati hai
sansoon mein rach jati hai

jab wo samney aati hai
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

hontoon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi

khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraag bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto