ankhe SMS Messages196 messages

bewafa

agar tum aaeena dekho to,


khud se nazren chura lena,

ke aksar bewafa logon ko,


ankhen chor lagti hain.
Dil pay ye qyamat karna muskurate huwe rukhsat karna,

Achi ankhen jo mili hai usko kuch to lazim hoga wehsht karna,

Jurm kis ka tha saza kis ko mili kya gayi baat pe hujjat karna,

Koun chahega tumhe meri tarah ab kisi say yun mohabat karna,

Dil ka darwaza khula rakha hai waqt mil jaye to zehmat karna . . .
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo
Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo
Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain
Us ne kaha ke raat ko socha na karo
Maine kaha ke raat ko neend nahi aati
Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera
Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo
Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain
Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai
Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai
Maine kaha ke tumhari ankhen meri ankhen hongi
Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo...
Qiyamat khez hain aankhen tumhari!!
Tum aakhir khawab kis k dekhte ho...
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hai,
meri har aah har dard samjhti hai,
pata hai majbur hai tu aur main bhi,
phir bhi aankhen didar ko tarasti hai
Batao wo Aankhe jinme Khwab nhi hai..
Batao wo Dil jisme Armaan nhi hai..
Batao wo Insaa jo pareshan nhi hai..
Ya sirf,batado wo Jameen jaha Aasman nhi hai..
majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
ankhen thi kahan itni sharabi pehle

Chehre the kahan itne kitaabi pehle

Aaina zara dekhiye boson ke baad

Kya hoth the itne hi gulabi pehle.
Pal Pal Dhadkane Bekarar,


Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar.


Unhi Ko Bhulane Ki Koshish,


Karti Aankhen Unka Intezar;


Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?

Dil Diya ye mere pyaar ki haad thi,
Jaan di ye mere aitbaar ki haad thi,
Mar kar bhi reh gayee khuli aankhen
unke liye ye mere intzar ki haad thi.
Main khud gharz itna hoon k bas yehi chahoon.../

Rahein hamesha MERI Muntazir TERI ankhein.../