aankhen SMS Messages45 messages

Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hai,
meri har aah har dard samjhti hai,
pata hai majbur hai tu aur main bhi,
phir bhi aankhen didar ko tarasti hai
Pal Pal Dhadkane Bekarar,


Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar.


Unhi Ko Bhulane Ki Koshish,


Karti aankhen Unka Intezar;


Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?

Dil Diya ye mere pyaar ki haad thi,
Jaan di ye mere aitbaar ki haad thi,
Mar kar bhi reh gayee khuli aankhen
unke liye ye mere intzar ki haad thi.
mujh se mat pooch kyun aankhen jhookali maine
teri tasveer thi jo tujh se chupali maine
mere muqaddar main jo likha tha ke tu mere naseeb main nahi
apne mathe ki woh tehreer mitaali maine
zindagi main yahan har kisi ko sacha pyar kahan milta hai
kisi ki wafaanon par likhi ek nazm uthali maine
gheri rehti hain din raat teri yaadein
in yaadon ke sahare zindagi saajali maine
jin ke sheron ko sun kar bahut roya karta tha
bas wohi ek baat sab se chupali maine
aankhen bandh karnge to hame hi dekhonge,
aankhen kholonge to hame hi paonge,
zindagi me kabhi rona mat,
warna un ansuo ke sath tum hame bhi gavaoge
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH aankhen BOHAT SATATI HAIN
Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain

YEH aankhen BOHAT SATATI HAIN
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH aankhen BOHAT SATATI HAIN

YEH aankhen BOHAT SATATI HAIN
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraag bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya na aaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!
“Dil ki Batain , bata deti hain , aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,aankhen,

Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain aankhen,

Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain aankhen,

Ma na ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain aankhen,

SAGAR shukar hai , Khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain aankhen