Zarf SMS Messages13 messages

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chhod Gaya,
Jo Puri Na Ho Kabhi Aisi Aas Chhod Gaya,

Wo Chahaton Ki Talab Mann Ki Pyaas Chhod Gaya,
Mujhe Bana Ke Wo Ek Zinda Laash Chhod Gaya,

Yehi Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kaam Hai Kiya,
Ke Khud To Door Hai Yaadein To Paas Chhod Gaya,

Jo Khwahishein Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab,
Mere Labon Mein Wo Ek Lafz "KAASH" Chhod Gaya,

Ye Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha,
Ke Aam Logon Mein Ek Tujhko Khaas Chhod Gaya,

Baharon Se Mujhe Isi Liye To Nafrat Hai,
Inhi Raaton Mein Mujhe Wo Udaas Chhod Gaya,
Qissy Meri Wehshat K Jo MarQoom Hain Saary

Aa Daikh Tere Naam Se Mansoob Hain Saary


Bus is Liye Her Kaam Adhoora Hi Para Hai

Khaadim Bi Meri Quom K Makhdoom Hain Saary


Her Jurm Meri Zaat Se Mansoob Hua Hai

Keya Mere Siwa Shehr Me Masoom Hain Saary


Ab Kon Mere Pa'on Ki Zanjeer Ko Kholy

Haakim Meri Basti K Bi Mehkoom Hain Saary


Shayd Ye Zarf Hai K Jo Khamosh Hoon Ab Tak

Warna To Tere Aaib Bi
Maloom Hain Saare
wo muj say besabab uljha nahe tha,
wo pahlay tou kabi aisa nahe tha,
bohat aala tha us ka Zarf laken,
wo meri zaat ko samja nahe tha,
wo wo jis berukhi say chal diya tha,
man itna b gea guzra nahe tha,
usay main kiun bura thehraon yaro,
wo acha tha faqat mera nahe tha.......
Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska Zarf lekin who meri zat ko samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
main tum say bicher ker nahi faryaad keroonga
ye bhool jaoo k main tumhay yaad keroonga

is shehr e baywafa main wafa ki qadr kahan
ab ja k main sehraoon ko abad keroonga

ger dil k taluq say hay inkar wo kerta
main rooh k rishtay say bhi azad keroonga

shayad khushi sakoon main rahat na mili hoo
gham day k apnay dil ko main ab shad keroonga

dil bhi udaas rah k ab ukta sa gia hay
ab to niya hi shughl main ijaad keroonga

hay mera Zarf teri wafa say kahiin barh ker
ay baywafa tujhay main kion barbaad keroonga

tu bhi bichar gia hayye dil bhi udas hay
kis say biyaan apni main roodad keroong
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
samajhte the magar phir bhi na rakhin doorian humne
charagon ko jalane mein jalali unglian humne
koi titli hamare paas aati bhi to kya aati
sajaye umar bhar kagaz k phool aur pattian hamne
charagon ko.............
yuhin ghutt ghut k mar jana hame manjoor tha lekin
kisi kamZarf par jaahir na ki majburian hamne
charagon ko...........
hum us mehfil mein bus ek bar sach bole the ae baali.
zabaan par umr bhar mehsus ki chingarian humne charagon
Mere Zarf Ka Ye Qaso0r Tha Main Dard-e-Dil Na Chupa Saka,
Mare Zarf Ne Bhi DaGha Dia Main To Zarf Bhi Na Bacha Saka,
Mara Nafs Ik Alaao Tha Meri Ro0h Tak Ko NiGal Gaya,
Main Khawhishon K Is Alaao Ko Na Jala Saka Na Bujha Saka,
Jo Di Dostoon Ne Aziyatain, Thi Wo Dushmano Ki Anayten,
Main Tamam Umar Darta Raha Koi Dost Phir Na Bana SakaH
Mujhe Muflasi Ne Thaka Dia,
Mere Walwalon Ko Sula Dia,
Mujhe LouG Ye Keh Kar Juda Ho0wy Ye To Kuch Bhi Na Bana Saka ..
woh mujhsay besabab uljha nahi tha,
woh pehlay tu kabhi asa nahi tha,

buhat ala tha uska Zarf laykin,
woh meri zaat ko samjha nahi tha,

woh jaisay berukhi say chal dya tha,
main itna bhi gaya guzra nahi tha,

usay main kyun bura theraoon yaroo?
woh acha tha....faqat mera nahi thaa!
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gia
Jo Pori Na Ho Kabhi Aesi Aas Chor Gia
Ye Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kam Hai Kia
K Khud Door Hai Yadain To Pass To Chor Gia
Jo Khuwaishain Thi Kabhi Hasraton mein Dhal Gaye Ab
Mere Labon Pe Wo Aik Lafz KAASH Chor Gia
Yeh Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha
K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khaas Chor Gia
Baharon Se Mujhe Isi Liye Tou Nafrat Hai
Inhee Ruton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gia
Tum Ko Azeez Jan Se Pyara Bana Liya..
Dil Ka Sukon Aankh Ka tara Bana Liya..
Ab Tum Wafa Karo Ya Na Karo Ye Tumhara Zarf..
Humne Tu Tumhe Zindagi Ka Sahara Bana Liya..
ek nazar daikh mere Zarf-e-muhabat ki taraf,

hum ne dil de k khareeda gham-e-tanhai ko...