Thandi SMS Messages32 messages

Hatheli samne rakhna...
Ke sab ansoo giren is mein
jo ruk jaye honto per...
samjh jana ke wo hon main
.
Kabhi jo chand ko dekho...
To tum yun muskra dena...
Ke phir badal bhi ajaen..
samjh jana ke wo hon main
.
Jo chal jaye hawa Thandi..
To ankhen band kerlena...
Jo jhonka tez ho sab se..
samjh jana ke wo hon main
.
jo zada yaad ao main...
to ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aye...
to samjh jana ke wo hon main
.
Agar tum bhoolna chaho
mujhe shayed bhula do tum
magar jab saans aye gi..
samjh jana ke wo hon main..
Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

nichaawar khawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki chaaon main kabhi nadiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

main chaahon gi tumhain janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri Thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa''n chehkein gee yakh-basta raato''n may
Aur pairo''n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki Thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
"TOO LATE"
Aadhi Raat k Sanatay Me
,Kis Ne Phone Kea Hy Muj Ko?
Jane Kis Ka Phone Aiea Hy,
Phone Utha Kr Yun Lagta Hy,
Os Janib Koi GumSum,
Okhra Okhra Dheray Dheray
Kanp Rha Hy,Mehki Hoi Ik Khamoshi Hy,
Ghup Khamoshi,Lakin Is Khamoshi Me B Gonj Rahe Hen,Thandi Sansain,
Barish,Aanso,Khamoshi Se Thak Kr Os Ne Saans Liya Tu,
Choorhi Khhanki,Uff Ye Khhan Khhan. . . .
Ik Lamhay Me Sarey Badan Me Phail Gaee Hy,
Teray Ilawah Koi Nhi Hy,Lakin Itnay Barson Bad. . . . .
agar main door ho jaoon
tu palkon ko jhapak daina,
agre aansoo giray koi
samjh lena k wo hu main..


hathaili samnay rakhna
k sab aansoo girain us main,
jo ruk jaye ga honton par
samjh lena k wo hu main..


kabi jo chand ko daikho
to tum yoon muskura daina,
k phir badal bhi a jaaein
samjh lena k wo hu main..


jo chal jae hawa Thandi
to aankhain band kar laina,
jo jhonka taiz ho sab say
samjh lena k wo hu main ....


jo zyaada yaad aaon main
toh tum ro lena jee bhar k
agar hichki koi aye,
samajh lena k wo hun main


agar tum bhoolna chaho
mujhe shayad bhulado tum
magar jab saans lena tum,
samajh lena k wo hu main..."
koch kehnai ka waqt nahi hai koch na kaho khamoosh raho
ai logo khamoosh raho haan ai loogo khamoosh raho

sach acha, par is kai jalo main, zehr ka aik piyala bhi
pagal hu, kiyoon nahaq ko "suqraat" banoo, khamoosh raho

haq acha par is kai liya koi aur marai tu aur acha hai
tum bhi ki "mansoor" hu jo soli pai charhoo, khamosh raho

un ka yeh kehna soraj hi dharti kai phairai karta hai
sar ankhoon par, sooraj hi ko ghomnai do, khamoosh raho

majlis main kooch habs hai aur zanjeer ka ahan chubhta hai
phir soocho, haan hir soocho, haan phir soochoo, khamoosh raho

garm ansoo aur Thandi anhain, man main kiya kiya mausam hain
is baghya kai bhaid na kholoo, sair karoo , khamoosh raho
kaisay chop chaap he mar jatay hain kuch log yahan ..
jisam kee Thandi see
tareek saiyhaa qaber kai under
na kissi saans kee awaaz , na siskee koi ..
na koi aahh , na jombish na he aahat koi ..
aaisay chop chaap he mar jatay hain kuch log yahan
kai
unko dafnanay kee zaihmat bhe othana nahe pertee
Der Raat Jab Kisi Ke Yaad Satayee
Thandi Hawa Jab Zulfon Ko Sehlaye
Karlo Aakhe Band Aur So Jaao Kya Pata
Jiska Hai Khayal Wo Khuwabon Main Aa Jaye
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Tumhara naam leta hon
To saanson main mohabbat ki
Kai perten ulat''ti hain
Tumhen aankhon main bharta hon
To aankhon se shua''en noor ki
Bahir nikalne ko tarsti hain
Tumhen sochon ki mutthi main jakarta hon
To saare jism main Thandi hawaen chalne lagti hain
Abhi wazeh nahi mujh per......
Ky main chahat ki kitni manzilen teh ker k
Is manzil pe pohancha hon
Abhi wazeh nahi mujh per........
Ky meri soch aisi hai
Ya teri zaat main koi shabistaan sa ujala hai
Mager ik baat wazeh hai.......
Ky teri zaat ki mojodgi
Mere liye jeene ka iklota sahara hai
Meri sochon ka mehver hai
Mere jeene ka hasil hai
Agar tujh ko meri sochon se minhaa ker diya jaaye
To!!!!!
Baqi kuch nahi bachta
Yehi ik baat wazeh hai.
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki Thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui Thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara