Shak SMS Messages511 messages

Kanton Se Guzr Jna Sholay Se Nikal Jana
Phulon Ki Bsti Me Jna To Sambal Jna
Woh Shaks Bhala Mra Kya Sath Nibyega
Musam Ki Trah Jis Ne Sikya hai badal jna
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek Shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
Meri Ankhon pe marta hai
meri baaton par hansta hai
najane Shaks hai kaisa?
mujhe khone se darta hai
woh jab bhi baat karta hai
yahi har baar kehta hai
Agar main bhool jaoon to?
Agar main rooth jaoon to?
Kabhi wapis na aaoon to?
bhula paoge yeh sab kuch..
yunhi hanste rahoge kia?
Yunhi sajte rahoge kia?
Yahi baatain hain bas uski
yahi yaadian hain bas uski
mujhe maloom hai itna
Mujhe woh pyar karta hai
MUJHE KHONE SE DARTA HAI...
Woh Shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
usi ik fard k wasty mere dil main dard kis liye..?
mere zindagi ka mutalba wohi aik Shaks kis liye..?
to jo shaher main hi mukeem hai,,tu musafrat ki fiza hai kio..?
tera jo kawaran nahi gaya,tu yeh hawa main gard kis liye…
jo likha ha mere naseeb mian,kahin tune par tu liya nahi…?
Tere hath sard hain kis liye,tera rang zard hai kis liye..?
Woo jo tark-e-taluq ka ehad tha,kahin tootne tu nahi laga…?
Tere dil main dard ko dekh ker ,mere dil main dard hai kis liye..?
Koi wasta jo nahi raha,tere ankh main yeh nami hai kio..?
Mere gham ki aag ko dekh kar,teri aah sard hai kis liye..
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
Ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek Shakhs tha jo mujh say bichar gaya
Ankhon ko meri mausam-e-barsat sonp ka
ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek Shakhs kitabon jaisa thaw oh Shakhs zabani yad huwa
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Eay Subah main ab kaha raha hon?Khawabon main hi surf ho chuka hon.Kya hai jo badal gai hai dunia.Mina bhi to bohat badal gya hon.Main jurm ka eatraaf ker k kuch aour hai jo chupa gya hon.main aur faqt ussi ki khawahish ekhlaaq main jhoot bolta hon.Roya hon to apney doston main. Par tujsay to huns ker hi mila hon...Eay Shakhs...!Main teri justajoo say bezaar nahin hon. Thak gya hooooon.
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb Shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us Shakhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun