Samjha SMS Messages135 messages

Kaash Koi Samjha Daita ...


Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain


Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain


Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska zarf lekin who meri zat ko Samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
zindagi k kisi mor per khu ko tanha na samjhna,me tere sath hun apne se juda na samjhna,me tujhse jan se badh kar pyar karta hun,meri is muhabat ko bura na samjhna,tum phulon ki tarah khubsurat ho masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kia he,zindagi ne agar sath na dia to bewafa na Samjha,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muaddar jan na,apni khata na samajhna..
Jab piyaar ki baat adhori hoo
Jab beech mien thori doori hoo
Jab milna bhoat zrori ho
Par milnay mien majboori hoo
Tum dil mien yaad jaga laina
Kuch piyaar kay deep jala laina
Jab mujh say milnay aa na sako
aur yaad say bahir jaa na sako
Thora dil ko Samjha laina
Bus yaad say dil behla laina
Kaash hame bhi koi Samjhane vaala hota to aaj hum nasamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne Samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Zindagi guzar gayi Dil ko Samjhaane mein....
Pyaar ke un kisso ko bhulaane mein....
Samajh baithe the jisse zindagi apni....
Woh shaamil thi meri barbaadi kaa jashn manaane
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein Samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost Samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai Taqdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata .
Pyar K Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Apni Jaan Se Jane Waale Kuch Kuch Pagal Hote Hian

Hijr K Gehre Zakhm Miley Tou Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain

Jaan Se Pyare Logo''n Se Bhi Kuch Kuch Parda Lazim Hai
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain

Us K Ishq Main Bheeg K Hum Ko Ye Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Main Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahi Karte

Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahi Krte

Kaha Usne Bohat Khush-Rung Dunia k Nazare Hain

Kaha Maine Jab Tum Ho Tou Hum Kuch Dekha Nahi Karte

Kaha Usne Main Tum Se Duur Hoon Lekin Tumhari Hoon

Kaha Maine k Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiya''n Degi

Kaha Maine Shohrat Se Ghabraya Nahi Karte

Kaha Usne Samaj Jao, Samajh Jao Ae Maire Dost

Kaha Maine K Deewane Ko Samjhaya Nahi Karte

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii Samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
log aksar karte hian yeah sawal mujh se
kia hai rishta tera mujh se
kia bataoo kese Samjhaaoo kia hia rishta humara...
bataye koi mujhe kia hia rishta
barish ka paani se..
badal ka hawa se
chand ka chandni se
kia rishta hai
farishtoo ka ibadat se
muazin ka aazan se...
koi in rishtoo ko naam de....
nahi koi na de pya in rishtoo ko naam..
par janti hoon mian
in ka rishta hai..pyar ka..muhabat ka chahat ka..
wohi rishta hai tera mujhe se..
haan wohi rishta hai...
jo kisi naam ka muhtaj nahi...

DUNIYA KI KHATIR SAHI...IS RISHTE KO NAAM DO......