Sada SMS Messages252 messages

Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
Naseeb hon khushiyan tumhain
tum khush raho Sada
Tum ko rahat milay ,
tum ko chahat milay
Tumhain saray jahan ki muhabbat milay
Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb
Koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
Dil ki har aarzooo poori Khuda karay
Tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan
Dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan ...
aankhein masroof ho jati hain, bhula dete hain log
kahaniyan mashoor ho jati hain,bhula dete hain log......

ye kya manjar he yaaro
koi marta he to jala dete he log

humse nahi he kuch gila to bato
kyun ruswa kar jate he log

ye sab to kismato ka khel he
varna kahan juda hona chahate he log

hum tum rahe Sada dost
ye bhi to dekh nahi pate he log
us se duur janay ka irada na tha
Sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki Sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon apna kaha tum to nahin ho
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,Meri Aankhon Main Aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo Sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
zindagi mein Sada haste raho,
hasna zindagi ki zarurat hai,
zindagi jiyo toh iss andaz mein,
ki tumhe dekhkar sabko lage ..
zindagi kitni khoobsurat hai!
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein Sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali Sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai Sada kuch or hoti hai.
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha Sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
yaad aya tah bicharna tera
phir nhin yaad ke kya yaad aya

jub koi zakham bhara dagh bana
jub koi bhool gaya yaad aya

ye mohabat be hai kya rog faraz
jiss ko booley wo Sada yaad aya!!!