Phir SMS Messages1161 messages

mana ki koi sath nahi
tanha hu is waqt

tuti hu par bikhari nahi
na hua hausla hai pastt

sach hai ki dagar kathin hai
aasan nahi safar

na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar

achcha hi hua tune mujhe daga de diya

soye hue junoon ko Phir se jaga diya

nadaN thi tere ishq main khud ko fanna kiya

ho bhala teri bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya

fir se wahi junoon hai

bulandion par hai hausla

tere har gunah ka mai khud karungi faisla!
Phir nazar se pila dijiye
Hosh mere uda dijiye
Chodiye dushmani ki ranjish
Ab zara muskura dijiye
Baat afsana ban jayegi
Is kadar mat hawa dijiye
Aaiye khul ke miliye gale
Sab takalluf hata dijiye
Har pal kisi ke ane ki umeed to rehti thi


Aye khuda mujhe Phir se wohi tanhai de


Na de chahe koi khushi bas itna karam kar


mera gam mere chehrepe na dikhai de.
MANZILAIN BHI USKI THI,
RASTA BHI USKA THA.
EK MAIN AKELI THI, KAFILA BHI USKA THA..
SATH-SATH CHALNE KI SOCH BHI USKA THA,
Phir RAASTA BADALNE KA FAISLA BHI USKA THA...
AAJ KYUN AKELI HOON, DIL SAWAL KARTA HAI,
LOG TO USKE THE, KYA KHUDA BHI USKA THA....
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi Phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai
mai rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi Phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi ..............
apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to Phir pyaar chhupaate kyon ho
ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to Phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar Phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to Phir lauT ke jaate kyon ho
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...
Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...
Unse roz milne ko DIL CHAHTA HAI.....
Kuchh sunne sunane ko DIL CHAHTA HAI.....
Tha kisi ke MANANE KA ANDAZ aisa....
Ki Phir RUTH jane ko DIL CHAHTA HAI....
Hatheli samne rakhna...
Ke sab ansoo giren is mein
jo ruk jaye honto per...
samjh jana ke wo hon main
.
Kabhi jo chand ko dekho...
To tum yun muskra dena...
Ke Phir badal bhi ajaen..
samjh jana ke wo hon main
.
Jo chal jaye hawa thandi..
To ankhen band kerlena...
Jo jhonka tez ho sab se..
samjh jana ke wo hon main
.
jo zada yaad ao main...
to ro lena jee bhar ke
Agar hichki koi aye...
to samjh jana ke wo hon main
.
Agar tum bhoolna chaho
mujhe shayed bhula do tum
magar jab saans aye gi..
samjh jana ke wo hon main..
bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajaana..
jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana..
ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....
kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko....
yaa Phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....
kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....
tho na likhte hum unke yaadon mein .....
na is dil mein un ke liye pyaar hota ...
na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......
Dil ko seene mein dabaye rakha per dhadakta sirf tere liye ye dil,
Tera toh naam hai mere iss dil, awaas teri bhi yahan hai iss dil,
Aaaja mere tuh iss dil, ki mil jayen Phir yeh do dil,
Tujhko Phir na karne dun mein shikwa ki humdono hain ek dil !!