Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua
phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua
daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua
rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka
Nishana hua
ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua
dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua
pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........