Nabi SMS Messages124 messages


Bheed Main Ek AjNabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajaNabi ajaNabi

Raah bhi ajaNabi mord bhi ajaNabi
jayein ham kidhar ajaNabi ajaNabi

Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar

Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar ajaNabi ajaNabi

Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo

aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo

Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajaNabi ajaNabi

Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge

Din hua ajaNabi raat bhi ajaNabi
har ghari har pahar ajaNabi ajaNabi
Kisi na kisi pe aitbar to ho jata hai...
ajNabi koi shaks yaar ho jata hai...khubion se nai hoti mohabbat sada...
khamion se bhi aksar pyar ho jata hai...
meri afsurdagi se pareshan na ho
tu meri talkhioon ka sabab to nahi
teri aankhian to meri hi damsaaz hian
thin kabhi ajNabi lekin ab to nahi
tujh ko meri musarat muqadam sahi
tera ghum mujhe ko waja e tarb to nahi

tera ahsan hai tu ne mere liye
apni palkoo se rahoon k kante chune
khud kari dhoop main reh kar mere liye
tu ne zulfoo k shadab saaye bune
meri khatir zamane ko pagal kaha
meri khatir zamane k tane sune

tu meri zindahi hia magar jaane man!
ab wo ishq o muhabat ki rasmain nahi
mere dil main kai ghaoo aese b hian
jin ka darmaa teri dastaras main nahi
ik ghum jis ki shidat hamagir hia
tere bas main nahi mere bas main nahi
Kisi aesy hi mosam men k jab barish bhari raten hamen sony na deti

theen koi masoom si yaden hamen rony na deti theen kisi k anbereen gasoo hamara jab sahara thy

kisi ki chashm e purnam ka kabhi ham bhi sitara thy kisi ki narm o nazuk si hansi k wasty yaro hamen dukh bhi gawara thy kisi aesy hi alam men

kisi aesy hi mosam men shab e hijran chali ai mery dil ko mohabat ki tapish se ashna kar k mujhy mujh se juda kar k shab e hijran ye kehti

hy kisi aesy hi mosam men koi bhi ajNabi dekho usi se dil laga lena khalish dard e mohabat ki galy mil kar mita lena kisi aesy hi mosam men,
Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai AjNabi Ke Ilye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine Khud Ko Kiya Pesh Dillagi Ke Liye
=> Meray AjNabi ere Aashana Tujhay Harf Harf Mein Dua Likho

==> Agar na Ban Sakon Kabhi Tera To Hayyat Ko Mein Fana Likho

==> Agar Na Ho Dar Mujhe Kuffar Ka To Phir Tujhe Apna Khuda Likho

==> Ye Zindagi Qadam Qadam pe , Teri Yaad Se jawan Rahay Meray AjNabi Mere Aashana Tujhe Kabhi Na Mai Juda likhoon
Bana ajNabi mera Humsafar....
Aur nazar bacha k guzar geya.
Main tha raston se bekhabar....
Aur Usey manzilon ka shaoor tha.....
Na theen aur koi b Ranjishain......
Sirf adaton mein tazaad tha.....
K Usey pasand theen shokhyan aur Mujhey sadgi pe ghuroor tha...
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajNabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-shoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajNabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon
ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajNabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny khud ko paish kiya dil lagi k liya
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo AjNabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...