Ab kiya likhein hum kagaz par
Ab likhne ko kya baqi hai
Ek dil tha so wo toot gaya
Ab lutne ko kya baqi hai
Ek shaks ko hum ne chaha tha
Ek rait pe naqsh banaya tha
In rait k zaron ko hum ne
Phir apne dil mein sajaya tha
Or rait to kab ki bikhar gae
Who naqsh kahan ab baqi hai
Ab kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai
Hum jin ko apni nazmo ka unwan banaya karte thay
Lafzon ka baan kar taj mahal kagaz par sajaya kartay they
Wo hum ko akela chor giya
Sab rishton se mouh mor giya
Ab rishtay sare sonay hain
Who pyar kahan ab baqi hai
Ab kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai