December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha
Baras Guzray Kayen
Main Nay “Mohabat” Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Kay Tukray Per!
Achanak Yaad Aya Hay
Baras Guzray Kayen
Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi
Usay Kehna Tha
Jaan-Nay Jaan! “Mujay Tum Say Mohabat Hay”
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kagaz Ag Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya
Pyar kiya to unki mohabat nazar ayi,
dard hua hume to palke unki bhar ayi.
Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,
dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.