Lafz SMS Messages193 messages

Chehron Mein 1 Chehra Khojne Ki Adat Hai,

Mujhko Bheer Me Beth Kar Sochne Ki Adat Hai,
Gila Ho B to kya unse Sitam Gari ka K jinhain

Phool Shakhon Se Nochane ki Adat Hai,

Mat Dhoonda kejiye Mere Har Lafz Ki Tasweer,

Min To Pagal Hon Mughay Youn Hi Bolne Ki Adat Hai,

WaQt Hai Nhi Dunya K paas Mujhay Ja"nay Ka

Aur Mujhko B kab Apna Aap Kholne Ki Adat Hai

Tum Shish Ho to Phir Mujh Se Door He Raho

Main Pathar Hon Mujhay Shisha Tornay Ki Adat Hai,
Mera Shaaur Behalta Nahien Hai Lafzon Se
Mein Tere Khatt K Nahin Tere Intizar Mein Hoon
Band kitab main khali auraq rakhta hoon

Dil ko aainey ki tarah shafaf rakhta hoon




Ik bar ka milna kar deta hia mutaassir

Apni ghufgato main kuch aisa andaaz rakhta hoon




Mujh sai milo to zara fasley sai mila karoo

Main dil main utar janey ka kamal rakhta hoon




Har dukh ko yunhi bant deta hoon Lafzoon main

Kuch aisa hee dostana mizaj rakhta hoon
Khud Apny Ley Bate K Sochain Gy Kisi Din
Youn Hi K Tuhjh Bool K Deykain Gy Kisi Din
Batakhty Hovy Phirty Hain Jo Lafz Dil Main
Dunya Ny Deya Waqt To Lekain Gy Kisi Din
Hil Jay Gay Yeh Arsh K Dar-O-Bam
Yeh Khak Nasheen Log Jo Bolen Gy Kisi Din
Jati Hy Kisi Jeel Ki Gehrai Kahan Tak
Aankon Main Tery Doob K Dykain Gy Kisi Din
Ek wafa ko panay ki koshish me main ne,

zakhmi kr di hain wafain kitni

kitna masoom sa lagta hay ik Lafz

"MOHABBAT"

or is Lafz se munsalik hyn sazaaen kitni.
yon usay IshQ k Janjhat se rahai de De,

1 he Lafz mAin sadion ki Judai De De,

Azmaish Thi k Hm Dil k Sakhi Kitne Hain,

Hum Ne khairaat mAin us but ko Khudai Day De,
Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz

Phir Jo Bhi Hai Wo Nibaah Main Hy

Kab Se Maine Palak Nahi Jhapki

Koi Meri Nigaah Main Hai
Kuch Wady Qasmein Yadein Thin
Kuch Qehqay Kuch Feradein thin
Kuch Chehray thy jo bhaye thy
Kuch dhoke thy jo khaye thy
Ab pass hamary kuch b nahi
Bas Yadon ki zanjeerien hain
Kuch rang bhari tasveerien hain
Kuch Lafz miti tehreerain hain
Ab pass hamary kuch b nahi
Ab pass hamary kuch b nahi
LiKho To Kuch Aesa Ke Kalam Bhi Rone Pe Majboor Ho Jaye
Her Lafz Mein Wo Dard Paida Kero K Wo Pyar Kerne Pe Majboor Ho Jaye
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gia
Jo Pori Na Ho Kabhi Aesi Aas Chor Gia
Ye Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kam Hai Kia
K Khud Door Hai Yadain To Pass To Chor Gia
Jo Khuwaishain Thi Kabhi Hasraton mein Dhal Gaye Ab
Mere Labon Pe Wo Aik Lafz KAASH Chor Gia
Yeh Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha
K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khaas Chor Gia
Baharon Se Mujhe Isi Liye Tou Nafrat Hai
Inhee Ruton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gia
Yahan Apni Apni Bari Per
Sab Hanste Hain
Sab Rote Hain
Dil To Sab Ka Hota hai
Aur Dukh B Sab Ke Hote Hain
Kuch Ashk Dilon Per Girte Hain
Kuch Mitii Mien Mil Jate Hain
Kuch Lafz Aada Ho Jate Hain
Kuch Honton Mein Sil Jate Hain
Mana K Adhure Rehte Hain
Per Khuwab To Sab Ke Hote Hain
Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi
Jante Hain Sab Mujhe Pehchanta Koi Nahi
Mukhtaser Lafzon Mein Ye Hain Mizaj-E-Dosti
Rabta Beshak Hai Sabse Wasta Koi Nahi