Lafz SMS Messages193 messages

Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Mere Her KHUWAB Per Apni HOKUMAT Chahta Hai
Mere Her Lafz Mein Jo MUJ Se Barh Ker Bolta Hai
Mere Her Lafz Ki Muj Se WAZAHAT Chahta Hai
Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon
To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai
Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!
MAGAR
Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har Lafz roota hai.....;->
Kash
Sapny
Haqiqat
Hoty
May
Har
Sapny
May
Tujy
Dekha
Karta
Kash
Zindgi
May
Har
Dua
Qabul
Hoti
May
Har
Dua
may
Tujy
Manga
karta
Kash
Zindgi
Wafadar
Hoti
May
Sari
Zindgi
Tery
Sath
Nibhta
Kash
Zindgi
May
Lafz
"KASH"
Na
Hota
Meri
Zindgi
Yaqeen
Par
Guzarti.
Samandar Mein Otar Ta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Se
Kisi Se Baat KartaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi HanstaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
Ham Mohabbat Ki Numaish Nahi Kertay,
Ham Lafzon Ki Pemayesh Nahi Kertay,
Jissay Chahtay Hain Toot Ke Chahtay Hain,
Phir Kisi Or Ko Paanay Ki Khawahish Nahi Kertay.
Jab kabhi dil bohat udaas ho

jab kabhi khud say bohat c batain kerna chahun

Lafz kho jatay hain...

sapaid-e-sahar say pehle

ya shab k kisi udaas lamhay main

jab ankhon say ansu rawan hotay hain

shab k maheeb sanatay ko

kabhi jab torna chahun

kabhi jab bolna chahun

Lafz khO jatay hain

main nay ye aksar dekha hai

jab kabhi dil mayoos ho chuka ho

aur tum chupkay say aa jao

ya jab kabhi tume alwida kehna ho

To Lafz kHo jatay hain.
Yahan apni apni bari per sab hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch Lafz adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.
Izzaton say barh ker to aur kuch nahi hota
Chahton ki durri bhi,
Torna hi parti hai
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hai
Bhoolna hi parta hai,
Khud say piyare lougon ko
Aur dil ke aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen Lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jukrain hoon,
Kholna hi parti hain..
Khoobsurat aankhon mein basnay walay khawabon ko
Nochna hi parta hai
Dil se milta her rishta torna hi parta hai...
Kyun ke....
Izzaton se barh ker to aur kuch nahi hota....!
choTa sa ik Lafz tumhaara
kitna peyaara lagta hai
dil meN khushiyoN ke najaane
kitne phhool khilaata hai
phheeke se be.kaif se din meN
shokhi ke rang sajaata hai
jab eid ke din ik card mile
uss par hoN surkh gulaab bane
jis ke andar sab se neeche
likhne waale ne likha ho
tum ko dil se chaahne waala
sirf tumhaara
tab
choTa sa ik Lafz tumhaara
kitna peyaara lagta hai..
Us Ne Do0r Rehne Ka Mashwara Bhi Likha Hei,
Sath He Mohabbat Ka Wasta Bhi Likha Hei,
Us Ne Ye Bhi Likha Hei Mere Ghar Nahi Aana,
Or Saaf Saaf Lafzon Mein Raasta Bhi Likha Hei,
Kuch Harf Likhay Hein Zabt Ki Nasihat Mein,
Kuch Hurf Mein Us Ne Hosla Bhi Likha Hei,
Shukriya Bhi Likha Hei Dil Se Yaad Karnay Ka,
Dil Se Dil Ka Hei Kitna Faasla Bhi Likha Hei,
Kya Usay Likhain Or
Kya Usay Kahain,
Jis Ne Be Jaan Kar K Jaan Bhi Likha Hei ..!