Khat SMS Messages518 messages

Seeny Main Koi Lamha Utar Kar Toot Jata Hai !
Kabi Mudat Ke Padesi
Agar Apny Na Any Koi Begam Bhajyn
Aor Makanon Pe Likhi Umeed Benaai Ganwa Bethy
Chaton Pe Banjpun Ka Dukh Utaar Aayy
Udasi Thehar Jati Hai
Kabhi Bichry HuOON ka Dukh
Kisi Bi Sham Ki Weranion Se Lug Ke Rota Hai
Shabyn BeArzoo Ho Kar Khamosi Orh Leti Hain
Kabhi Jab Dil Ki Nazuk Tar Se Likha Gia Koi Khat
Kahin Rasty Main Kho Jay
Ya Khat Ki Muntazar KHahish Ko Koi Rog Lug Jayy
Jahan Mauka Nikal Ayyyy
Jahan Sorat Bany Gham Ki
Jaahan Beronki Ka Koi Bhi Pehlo Nikalta Ho
Wahin KHema Lagati Hai
Udasi Thehar Jati Hai ..............
< Pyar kya hai ? >
kisi ko itna chahna k oski har baat manane ko dil kary,
itna chahna kdua osky nam se shoro ho aur osi k nam
par Khatm ho,itna aetbar karna k dunia mein koi yaken
ko behka na saky,itna chahna k kisi ki har burai b khubi
lagy,itna chahna kkisi k bin chohye aag si lag jae...
yeh hai pyar..
pyar wo nai jo sirf sath honay par hi zaher ho..
pyar sachy ashiq ki tarap,oski baichaini,
baikrari hai jo sirf apny pyar kliae hai
Tujh Se Mil Ker Yun Lagta Hai, Aay Ajnabi DOST To Meri Pehli Mohabat Thi, Meri Ahkari DOST,
Log Her Baat Ka Afsana Bana Letay Hain, Ye Duniya Hai Meri Jaan Kai Dushman Kai DOST,
Teri Qamat Se Bhi Lepti Hai Amar Bail Koi,
Meri Chahat Ko Bhi Nazar Kha Gai DOST,
Yaad Aai Hai Tou Phir Toot Ker Yaad Aai Hai,
Koi Guzri Huwi Manzil Koi Bhooli Huwi DOST,
Ab Bhi Aay Ho To Ye Ihsan Hai Tumhara Laken Wo Jo Qayamat Jo Guzrini Thi Guzer Gai DOST,
Me Isay Ahad-E-Sheken Kaisay Samjh Loon,
Ahkri Khat Me Ye Lihka Tha " Faqat Meray DOST".
Ujlat main likhay gae chand alfaaz ko ager aap Khat samjhti hain to muje aap ka Khat mil gya :)
Aap ko kahein ki Dil ko aur na satayein

Aap ko kahein ki Mill ke aag ek jalayein.

Aap ko kahein ki Khil ke mahak jayein

Aap ko kahein ki kya Khata meri batayein.
Khafa hona mana lena

Ye sadiyon ki riwaayat hai

Muhabbat ki alaamat hai

Gilay shikwey karo mujh se

Tumhein iss ki ijazat hai

Magar ik baat meri yaad rakhna

Hawaein rukh badlti hain

Khizayein lout aati hain

Khatayein ho hi jati hai

Khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai

Magar yoon haath se daaman churaya nahi karte

Taluk root janey se kabhi toota nahi kartey.
kuch ajnabi se loug they kuch ajnabi se hum
duniya mein ho na pai shanasa kisi se hum

dete nahi sujhai jo duniya k Khat-o-khal
aai hein tairgi mein mager roshni se hum

yan to her ek kadam pe khala hai hawas ka
ae khizr ! baz aai teri hamrahi se hum

dete hein loug aaj isse shairi ka naam
perhtey they loh-e-dil se kuch ashoftagi se hum

rehti hai anjum aik zamaney se guftugooooo
kerte nahi kalaaaam bazahiiir kisi se hum
koi pegam na hi DUA koi






is Qadar hm se hai khafa koi,



ay DIL un se na koi shikwa krna,



hm he se hui ho gi Khata koi
Youn to hAin Bay shumar wafa ki Nishaniyan




Lakin



hAr ik shAy se nirAlay tumhArAy Khat.
Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho, Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho... Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa, Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho... Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho, Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko DuKhate Q Ho... In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!! Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!! Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho, Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho... Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho, Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho
Shaam hotay hee woh choKhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Mohabat seekh kar karna k bin seekhay mohabat ka
Safar dushwar hota hai
Gireban taar hota hai
Kabhi inkar hota hai kabhi iqrar hota hai
Mohatbbat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat tu serabon ki kahani hai
Dukhon ki raj dhani hai
Jo kal ban jai ga badal yeh dary ka woh pani hai
Mohabat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat azab-e-zindagi thehri
Sharab-e-zindagi thehri na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri
Isi Khatir tu kehta hoon kisi ustad-e-kamil say
Mohabat seekh kar karna