cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii
mere chehare pe Gazal li
Khatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii
shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii
aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii
dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii
faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii
niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii
dOor rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,