Khat SMS Messages518 messages

Hum ne dekha tha faqat Shauq-e-nazar ki Khatir...

Ye na Socha tha ka tum dil mein utar jao gay..
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani Khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Me Apne Aap Se Barh

Ker Kissi Ko

Kio Chahoo

Mujhhi Pe Khatam Hai

Kissa Meri

Muhabbat Ka!
Meri Palkon Ki ChoKhat Pey Basney Wale,

Shab-E-Tanhai Ke Mausam Main Barasne Wale,

Mere Aansu Mere Ehad-E-Wafa Ko Nibha Dete Hai,

Ik Tere Siwa Har Shakhs Ko Bhula Dete Hain.. !!
Waqt-e-dua main ek dua karon,
main rab se ek eltija karon,

tu khush rahe,
tu shaad rahe,
teray dil ka angar abaad rahay,
tu har pal yun hi hansa kare,
tu phulon ki manind khila kare,
teri zindagi main koi ghum na ho,
teri aankh kabhi num na ho,
tujhey kisi se koi gila na ho,
koi dukh tujhey mila na ho,
teri rad kabhi dua na ho,
tee lab py koi sada na ho,
tujhey bin mange wo ataa karay,
teri maaf her ek Khata karay….!
Tum nay apnay pehlay Khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay Khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya to kia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil me thi uski tasweer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deeny waly wo Khat
Jala na paya to kia qasoor…?
Phira Hun Sare Zamane main dar-b-dar Kaisa,
Main tere baad bhi zinda Raha magar kaisa.

Wo janta Tha ke kuch Roz wo nahin tha to main,
Pukarta Raha usko aedhar odhar kaisa.

Main jiske Hijr main Roya hun pagalon ki tarah,
Wo kal mila to hasna mere hall par kaisa.

Aziz tarr thi jise nend sham vasl main bhi,
Wo tere hijr main jaga umir bhar kaisa


Buss aik Shaks ki Khatir buss aik dil ke lye,
Waatan ko chor dia diwangy main gher kaisa.

Kahan ki dosti''
Kaisa firaq
Kuon faraz??

Main khud ko bhol gaya hun tujhe bhol Kar kaisa...!
Jinko Suraj meri ChoKhat sAy Mila krta ThA''Ali''

Aaj wo khAirAAt mAin dAitAy hAin UjAlAy mujh Ko

Khatam hoga jab ZiNDAGi ka safar dekhna,
TANHA reh jaogy phir tum dekhna,

ZiNDAGi me nahi koi mukaam apna,
Baad marne k hogi qadar dekhna,

Mujhe ab koi kali bhi nahi deta,
Par PHOOLON se mehke gi qabar meri dekhna,

TANHA hi ZiNDAGi mein chal raha ho,
Janaze me hoga saara shehr dekhna,

Jo ab haalat par meri muskurate hain,
Pareshaan honge unke chehre B dekhna,

Kuch k sache kuch k jhote aansu honge,
Kitna ajeeb hoga wo manzar dekhna... /
Ye IshQ-0-m0habat wada-0-wafa Sb Rasmi Rasmi Batain haiN ''FaraZ''

Hr Shaks Ana Ki Masti main Bs Apni Khatir Jeeta hY