Isha SMS Messages244 messages

Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,

Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nIshani hai kisi ke pyaar ki...
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nIshani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nIshani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho ??
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemIshal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
RaaStOn Kii Marzii hAi
Be-Zameen lOgon Ko
Be-Qarar AankhOn Ko
Bad-NaSeeb QadmOn Ko
Jis Traf Bhi Ley jAien
RaaStOn Kii Marzii hAi

Be-NIshaan JaZeerOn Pey
Bad-gUmaan ShaarOn Mein
Be-Zubaan mUSafir Ko
Jis Traf Bhi Bhatka dien
RaaStOn Kii Marzii hAi

ROk Lien Ya Barhney Dien
Thaam Lien Ya Girney Dien
Vasl Kii LaKeerOn Ko
tOr Dien Ya Milney Dien
RaaStOn Kii Marzi hAi

AjnAbii Ko Ley Kar
hUmSaffar Bana Daalien
Saath Chalney WalOn Kii
Raakh Bhii Ura Daalien
Ya mUSaafatin Saarii
Khaak Mein Milla Daalien
RaaStOn Kii Marzii hAi ...!!!
mai ny haq-e-muhabat ada kiya
na kbhi ksi se gila kiye
mjy ajab is ka sila mila
mjy dil se us ny bhula diya
muhabatoon ki kitab ka
her aik warq jala diya
wo jo arzoo ka charag tha
usy nafraton ny buja diya
mjy zakum phir aik naya diya
mjy iss muhabat ny kya diya
wo jo kehty thy khush raho
wo jo thy meri jaan tum her dum hasa kro
mjhy aj unhoon ny rula diya
mera nIshaan tak mita diya...;->
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti KhuwahIshain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka Ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai

Hum to SHAYAR na they kabhi.....

SHAYARI to unki YAADON ne sikha di hume !!


Hum to ASHIQ na they kabhi.....

ASHIQUI to unki BAATON ne sikha di hume !!


Hum to DEEWANE na they kabhi...

DEEWANGI to unke PYAR ne sikha di hume !!


Hum to ROTE na they kabhi....

RONA to unki TANHAIYO ne sikha diya hume !!


SHABDO KO PYAR BHARE ALFAZO mein bolne wale to hum na they....

IS TARAH bolna unki MOHABBAT ne sikha diya hume !!


APNE PYAR KA IshaAR karne wale to hum na they....

lekin unke IKRAAR ne IshaAR karna bhi sikha diya hume......;->
Baaton baton mein bicharnay ka Ishara ker k ,
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k .

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos ,
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k .

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay ,
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay .

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka ,
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k .

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin ,
Daikhtay hain yeh aziat bhi gawara ker k ..!
Dekho Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke NIshaan Kiske Hain
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do AatIsha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
Dekho Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke NIshaan Kiske Hain