dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay
rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay
jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay
dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay
thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay