Hayal SMS Messages189 messages

jo kHayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
Logon Ne Kaha..!
Is Derrr Se Kabhi
Koi Na Umeed Nahin Lauta
Koi Khali Haath Nahin Gaya
Main Bhi Logon Ke Sath Chala
Chehre Pe Gird-E-Malal Liye
Ek Pur Umeed KHayal Liye
Ek Khali Dast-E-Sawal Liye
Jab Kafila Us Der Per Puhancha
Main Us Ghar Ko Pehchan Gaya
Phir Khaali Hath Hi Laut Aya
Us Derrr Se Mujhe Kia Milna Tha….?
Woh Ghar Tu Mera Apna Tha……..!!!
Kabhi khud hi mere pass aa
Meri baat sun mera saath de
Jo khlish hai dil se nikal kar
Muje uljhanon se nijat de
Tujhe sochna mera mashgala
Tujhe dekhna meri arzoo
Muje din de apne kHayal ka
Mujhe qurb ki koi raat de
Meri zindagi mere saath chal
Mere hath mai apna haath de
Muje gham khushi se kabool hain
Tu jo agar mera saath de
Wo tum na thay ik kHayal tha..
meri soch ka hi ik kamal tha..
Wo mohabbatain wo chahatain..
meri uljhanon ka hi jaal tha..
mere dil mein thien jo ronaqain..
wo tera hi husn-o-jamal tha..
mujhe jawab jis ka mila nahi..
wo aisa hi ik sawal tha..
use yaad kaise na karain hum..
use bholna tou muhal tha..
wo aj gaya tou ahsas hua..
kis kadar mujhe us se pyar tha..
ab uss ki kia main misaal don..

WO AP APNI MISAAL AP THA....!!!!


Is raat ki tanhayoon k''
sab rang badal gaye hain

chand nikla hai wese hi
andhere badal gye hain

jin k bharose thi khushyan
wo badal gaye hain

manzilain to ab bhi wohi hain
kuch rastay badal gaye hain

jinpe kiya tha bharosa hum ne
wo dost bichar gaye hain

dekhe the kabhi jo hum ne
wo khwab badal gaye hain

jo banay the kabhi humsafar
aaj wo hi mukar gaye hain

is totay hue dil k saray
jazbaat badal gaye hain

na badlay kabhi hum
na badlay hamare kHayalat

bus rona hai yahi Bas
kuch log badal gaye hain
Dil ko aata hai jb bhi kHayal unka

Tasweer se puchte hain phir haal unka

wo humse pucha karte thay judai kia hai,

aaj Humari samajh main aaya hai sawal unka
Mein


is


Hajoom-e-Alam Se

Nikal To Jaon Magr


Tera KHayal Mujhay Rasta Nhi Diata,
Humsafar ne ki bewafai humse
To ashiyan bhi amnoon ho gayi
Ab apne kHayalon ke safar me dil tute
To hume gumnaami ke raste mil gayi
Aj un aafsanon ki arzoo me dharkane gum ho gayi
To yeh badnaseeb asra un sarkonme kahin kho si gayi
Aj un badnaam gali me kahin kho gaye humari alfaaz
Yeh badnaami ke ajeeb ittefaq hain unki humse aitraaz
Yeh badnaseeb zarhanawazi kare us chehre ki armaan
Sau chehreke ek chehrese juri hay humari dastaan
Us chirag ki kasam aj ruswayi liye mohabbat ke saaz
Wah kismat! itmaam humsafar ke bewafai huye raaz
Ja aj batade us bewafase ki humne jala diye woh paygaam
Kasam us bewafai ki, manzoor hay hume jhute ilzaam.
Tera KHayal Dil Se Na Jaye To Kya Karo
Teri Yaad Mujhe Satay To Kya Karo

Har Tarha Tujhe Bholane Ki Koshish Kar Li
Par Ye Dil Tujhe Bhola Na Paye To Kya Karo

Sab Samjha Diya Hai Is Aawara Dil Ko
Par Ye Tujhe Hi Pana Chahe To Kya Karo
Lay Urra Phir koi KHayal humain…

Saqia, Saqia Sambhaal humain….

Roo Rahay hain kay Aik Adat Hy..

werne Itna Nahe Malaal humain..

Hum Yahan Bhe Nahe hain Khush lakin..

Apni Mehfil Say Mat Nikaal Humain..

Hum Tere Dost Hain FARAZ Magar..

Ab Na Aur Mushkiloon main Daal Humain……
Bus ik zara kHayal is dosti ka tha,

warna bohat gila teri berukhi ka tha,

mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,

per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
baal bikhraye tooti qabron par

jab koi mahjabeen roti hai

mujh ko aksar kHayal aata hai

maut kitni haseen hoti hai