Hayal SMS Messages189 messages

Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere KHayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
Kuch apni fiker na apna kHayal karta hoon
Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon


Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe
Mein apne aap se itne sawaal karta hoon


Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi
Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon


Yai chand aur sitare rafeeq hain meray
Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon


Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam
Tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon
Meray Qareeb Nahi Mujh Se Juda B Nahi

Yeh Raaz Magar Un Per Khula B Nahi

Suna Hai Ap Ko Pasand Aa Gayi Hai Khamoshi

Iss KHayal Se Ham Ne Kuch Kaha B Nahi.../
tAsvEeR-E-yAar cHupAi hAi diL mEy,


jAb bHi chAhA gArdAn jHukAi oR dEkH lEe,


NaHi FiKAr tUjHkO yAAd
AAuN mEy,


kHayal hAi yEh tUjHkO siRf pAuN mEy.../
Na gairon se nazare milaya karo, qasam hai na dil ko jalaya karo
Humein neend aati nahi raat bhar, na itna humein yaad aaya karo
Nigaahon me jo aa rahe hain nazar wo jazbe labon tak bhi laya karo
Nahin tum ko fursat mulakaat ki na jhoothe bahane banaya karo
Kabhi mere kandhe per sir ko tikaye hume dil ke armaan sunaya karo
Kabhi apne KHayalon me dhaalo mujhe naghmo ki surat me gaya karo
Jo kHayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh kHayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
Faasle Bahut Hain,Par Itna Maan Lijiye,Karib Rahkar Bhi Har Koi Khaas Nahin Hota,Aap KHayalon Me Itne Karib Hain Ki Faaslon Ka Ehsaas Hi Nahin Hota
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre kHayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. ...........
Ho chuki hai raat bahot ab so bhi jaayeye
Jo hai dil ke kareeb uske kaHayalon mein bhi kho jaayeye
Kar raha hoga koi intezaar aapka
Khawabon mein hi sahi mil to aayeye
Tere KHayal Se jee churaon kaise
Ek aag dil main lagi he bhujaon kaise
Meri har sans tri yad se wabasta he
Phir tu hi bata tujhe bhool jaon kaise
Na jane us par itna yaqen kyun hai.
us ka kHayal itn hasen kyun hai.
suna hai piyar k dard metha hota hai.
to ankho s enekla ansoo namkeen kyun hai.
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye kHayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !