Is raat ki tanhayoon k''

Is raat ki tanhayoon k''


Is raat ki tanhayoon k''
sab rang badal gaye hain

chand nikla hai wese hi
andhere badal gye hain

jin k bharose thi khushyan
wo badal gaye hain

manzilain to ab bhi wohi hain
kuch rastay badal gaye hain

jinpe kiya tha bharosa hum ne
wo dost bichar gaye hain

dekhe the kabhi jo hum ne
wo khwab badal gaye hain

jo banay the kabhi humsafar
aaj wo hi mukar gaye hain

is totay hue dil k saray
jazbaat badal gaye hain

na badlay kabhi hum
na badlay hamare khayalat

bus rona hai yahi Bas
kuch log badal gaye hain
  

Jun, 03 2010     543 chars (4 sms)     4339 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mein ne mangi thi ujaley ki fakat aik kiran,
tum se yeh kis ne kaha aag laga di jaye...
Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato''n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.
kitne parvane jale raaz ye pane ke liye
Shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye?

Ronewale tujhe rone ka saliqa bhi nahi
ashq pine ke liye hai ya bahane ke liye?

Aaj kah dunga shab-e-gum ki shararat unse
roz aa jati hai kambaqt satane ke liye

humko maloom tha aap ayenge mere ghar lekin
khud chala aya hoon yaad dilaneke liye .!
wo rat ka be nwa musafir wo tera shair wo tera"nasir"

teri gali tk tu hum ne dekha phir na jane kadhar gia wo..
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





Woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Theen

Acha Kia MUjhko faramosh Ker Dia
Rang hay, phool hay, khushbu hay, saba hay koi...

Mausam-e-gul ki tarah hum say mila hay koi...

Aik rishta jo lafzo''n may bayaa''n ho na sakay...

Hum kaun hai''n us k, aakhir hamaara kya hay koi..!
"Is umeed ko kabhi tootane mat dana,,
"Dil ka rishta kam hone mat dana,,

"kayi pyar milenge mjh sy bhi achay,,

"Bas meri jagah kisi ko lene mat dana"
chor dain sari dunia kisi kay liyay
yay munasib nahi admi kay liyay

pyar say bhe zaroori kiii kaam hain
pyar sub kuch nahi zindage kay liyay
Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali

Pyar Ka Naam Jo Aata Hy Dar Lgta Hy

Zakham Kuch Aise Bhi Apno''n N Diye Hyn Mujh Ko ''Faraz''

Ab Koi Haath Milata Hy Tou Darr Lgta Hy