Raat bhar aankhon main raha jashan ka sama
tum samne mere they kisi khuaab ki tarah,
Charon taraf phoolon main ek raqs tha bapa
saba bhi ker rahe they gulon sey utkhelean,
Thein titlian fiza main sabhi tairte hue
phoolon ka rang churate thein magar ghare ghare,
Rangon amin ek rang bara shaandaar tha
us amin bhi apne khuaab ke jaisa khumaar tha,
Qadmon main mere phool they aur sar per saibaan
hathon main tera
Haath tha khush tha yeh kul jahan,
Tha qos-o-qaza rehguzar apney pyar ke
jannat ka ek baagh tha sapno ki raat thi,
foren hi aankh khul gayi khushboo ke lehar thi
phir neend main kho jaaon mein koshish yehi rahi..!