Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya to kia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil me thi uski tasweer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deeny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor…?
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai....
Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai...
Bichadh kar us se pereshan mein to hoon....
Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
November guzr chuka hai,December guzr raha hai,
Aj Chabees (27) ho chuki haiUmeed kho chuki hai
Tak tak k tera rastaHar dharkan thum chuki hai
Ratein hain boht stati
Kuch aur din hain baqi
Phir naya Saal ho ga
Phir wohi haal ho ga
Dhondon gi tujhe din
ko
Har lamha har sa''at ko
Ik bar tu ayga
Keh de k tu ayega
Is Saal nahin lakin
Aglay bars ayega
Ye dil behl jayega
Jhotey tery wadon par
Qasmon par iradon par
Behla hai ye pehly b,Ye phir behl jayega
Novembr guzr chuka hai
December guzr raha hay...
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza