PIYAR KA MAZHAB
"Aik hi dherti per kerte hain , dono rain basera bhi
Neel gagen kay saiy tale gher tera bhi gher mera bhi
Rang-o-nasl ka jghra kaisa, kumba ik, qabila ik
Tere khun ka lal hay rang, vaisa hi rang mera bhi
Tera mera mazhab kaisa, piyar hi sab ka mazhab hay
Ik khuda hay tera bhi,or tera khuda hay mera bhi
kon kisi ka dost hoa, jab
Haat main sabke khunjer ho
Bund patari main rekhta hay apna saanp sapera bhi
Diar hoi jab burq, giri thi, abtek vehshet tari hay
Thek ker soorej, dobe ga, to chaiy ga andhera bhi