Haal SMS Messages283 messages

Mahobbat ki yaad main hamne banwaiii thi uchii minaare kya pata ye khuaab hai unke khayaalo ka ab ham sochte hai jab khuaab main ye Haal hai deedaar-jalwe-husn yaar kya hoga...............
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidHaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Wafa Ka jo Ehad Humne Kia Wo Tor Mat Dena
Suno Haalat Kuch Bhi Hoon Chorh Mat Dena
Humare Paas Reh Jaye Bas Yaado''n K Sarmaya
Humari Chahat Ko Aisa Mor Mat Dena
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kia

Woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh Haal kia

Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai

woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein CHaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Aah december lout aaya hai...
Yakh basta thhithharti hui taweel raatein
Yaadoo''n ka aanchal aurh ker
Meray dil kay taqchon mein
Aashaao''n kay deep jalaati hein
Meray mann mein bajti ghantiyoun ney
Barff ki chaadar aurhi hai
Rooh pehlay sey khwaaboun per
Koher ka perda chhaya hai
Hijr ki lambi raato''n may
Chhat per tanha teheltey howey
SHaal ka kouna dhalak gaya hai
Balconey kay hairaan chaand per
Meray aansoo''n ka saaya hai
Aah december lout aaya hai
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka Haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to Haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, samandur, hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba cHaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chahoon zara thehar jay
Mujh say meray chaak-i-guraybaan ka Haal pochtay ho
kyun meray dostoun ki bewafai ka aahwaal pochtay ho,

num hoti hoein ankhain labu pay bikhri muskurahath
bikhray baaloun urtti rangat ka ahwal pochtay ho?

mein nay gham k sitaar pay hath rakhay hain
rundhi aawaz k geet ka kya sur-taal pochtay ho

chirrak k namak meray nasoor pay aa dost tum
perham k aser pay hua kya mera Haal pochtay ho

qerya qerya bikhrri hain meri ruswaiyoun ki dastaain
jo meray yaar nay chali hai mujh say woh chal pochtay ho

maan khushiyaan sab lay ker tum aa dost
tum "Duaa" say khali hathu ka sawal pochtay ho
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare Haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraag bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
Haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
"Yaar ne dil ka Haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayi mein jana chhod diya,
jab unko hi koi doori ka ehsaas nahin,
to humne bhi unko ehsaas dilana chhod diya."