Aah december lout aaya hai...
Yakh basta thhithharti hui taweel raatein
Yaadoo''n ka aanchal aurh ker
Meray dil kay taqchon mein
Aashaao''n kay deep jalaati hein
Meray mann mein bajti ghantiyoun ney
Barff ki chaadar aurhi hai
Rooh pehlay sey khwaaboun per
Koher ka perda chhaya hai
Hijr ki lambi raato''n may
Chhat per tanha teheltey howey
Shaal ka kouna dhalak gaya hai
Balconey kay hairaan chaand per
Meray aansoo''n ka saaya hai
Aah december lout aaya hai
Teri Nazar Ko Fursat Hee Na Mili Sachai Ki
Werna Mera Marz Itna B La Ilaj Na Tha
Humne Wahan B Mohabbat Banti Hai
Jis Shehar Mein Mohabbat Ka Riwaj Na Tha