Karni mujhe khuda se kuch fariyad baki hai,hame unse kehni kuch baat baki hai,maut aayegi to keh denge zara ruk abhi maray dost se ek mulakat baki hai.
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa.
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?