Daikh SMS Messages124 messages

Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hy,,
Qabeela Aik Hy Apna……


Wohi Dard-E-Judai Hy,,
Wohi Bheegi Hoi Palkain,,
Naseeba Aik Hy Apna…….


Kisi Sy Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwaa Nahi Krna,,
Qareena Aik Hy Apna……


Kisi Ki Yaad Sy,,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,,
Khazeena Aik Hy Apna……


Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hy
Nateeja Aik Hy Apna.....;->
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi Daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko Daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Band sheeshon k parey Daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina Daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi
tu nain Daikha hai kabhi ik nazar shaam k baad
kitny chup chaap say lagty hian shajar shaam k baad

tu suraj hai tujhay kahan maloom raat ka dard
tu kisi roz meray ghar main uter shaam k baad
kya pochtay ho kaisa hu???

ek sard hawa ka jhonka hu..

hai meri rooh main bechaini..

mai apnay aap main uljha hu..

hai mera saaya aur koi...

main aur kisi ka saaya hu..

tu khush hai apni dunya main..

mai teri yaad main jalta hu..

abb lot k aa aur Daikh mujhay...

ik umar say tanha tanhahu...
Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi Daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi Daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi Daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi Daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi Daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi Daikha..
Shaan us ke km na hogy kisi taur Daikhna...
Barhta rahay ga jaah-o-chasham Benazir ka...

Hoon nukta cheen hazaar kae laakh herf geer...
Hargiz waqaar hoga na km Benazir ka...

Us ne watan ke aan pe jaan apny waar de...
Kaisay chukaen qarz yeah hm Benazir ka...

Goonjain ga naaray us ke hemayat main chaar soo...
Lehrae ga fizza main alum Benazir ka...
Mujhe Udas
Daikh Kar
Us Ne Kaha
Mere H0te H0we
Tumhen K0i Dukh Nahi Day Sakta
Phir Aisa Hi H0wa
Baad Me Jitne Dukh Miley Sab Usi K Thay...
Is Shab k Muqadar Main Sehr Hi Nahi Mohsin







Daikha Hai kai Baar Charaghon Ko Bujha Ker
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha
Ary Daikhny waly to usy Daikhty reh jaty thy
han wo shaks mohabt ka khuda lgta tha
kanton bhari shakh nazar ata tha kabi
phool lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha
ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
main jisy sare zamany sy bura lgta tha
us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha