Daikh SMS Messages124 messages

mairee jaan theek kaihtee hoo
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahe hongi
kubhe barish kai mosam main
humaisha sath raihnay kee
ju khowahish dil main jagi thi
ju spnay humnay Daikhay thy
wo sapnay tot jaeingay
mairee jaaan theek kaihte ho
moqader kai likhay ko he ager tasleem kerna hay
tu phir issi mohabbat ka
koi bhe faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu mairee baybassi kaih lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
Koi ehd b us ko yad nhi,

koi bat b us ko yad nhi.

ik shkhs nay us ko chaha tha,wo zat b us ko yad nhi.

jab shab ki bijli chamki thi,

aur badal tot k barsa tha.

hum dono jis main bhigay thay,

wo barsat b us ko yad nhi.

wo sahil darya phool hawa,

wo wada sath nibhanay ka,

aur shab bhar "chand" ko Daikha tha,wo rat bhi us ko yad ni.

wo kehta tha main sunta tha,

main kehta tha wo sunta tha.

un lakhoon batoon main koi ik bat b us ko yad nhi.
-Reh na paoge kabhi bhulaker dekho,

yaqin na aata ho to aazmakar dekho..

Har jagah mehsoos hogi hamari kami,

apni suni mehfilon ko kitna b saja kar Daikho.......
Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum khud ko kabhi mat Daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou...
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay Daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
MAIRE CHAROON TARAF ANDHAIRA HA
DaikhTA HOON MAIN ROOSHNI KI TARAF
TAIRE JAISA JO MIL GIA KOI
LOOT AAOWN GA ZINDGI KI TARAF
Suno!


Tum Azm waley ho
Bala ka zabt rekhtey ho
Tumhy koch bhee nahi ho ga


Magar Daikho !


Jisey tum chor jatey ho
oosey to theek sey syayed
Bicherna bhi nahi ata,
Maira Dil Bhi Shoq Say Toro Ek Tajurba Aur Sahi
Laakh Khilone Torr Chuke Ho Ek Khilona Aur Sahi


Raat Hai Gham Ki Aaj Bujha Do Jalta Hua Har Ek Chiraag
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahi


Dam Hai Nikalta Aashiq Ka, Bheer Main Aa Kar Daikh To Lo
Laakh Tamaashe Daikhe Honge Ek Nazaara Aur Sahi


Khanjar Le Kar Sochte Kya Ho Qatl-e-Murad Bhi Kar Daalo
Daag Hain So Daaman Pe Tumhaare Ek Izaafa Aur Sahi
agar main door ho jaoon
tu palkon ko jhapak daina,
agre aansoo giray koi
samjh lena k wo hu main..


hathaili samnay rakhna
k sab aansoo girain us main,
jo ruk jaye ga honton par
samjh lena k wo hu main..


kabi jo chand ko Daikho
to tum yoon muskura daina,
k phir badal bhi a jaaein
samjh lena k wo hu main..


jo chal jae hawa thandi
to aankhain band kar laina,
jo jhonka taiz ho sab say
samjh lena k wo hu main ....


jo zyaada yaad aaon main
toh tum ro lena jee bhar k
agar hichki koi aye,
samajh lena k wo hun main


agar tum bhoolna chaho
mujhe shayad bhulado tum
magar jab saans lena tum,
samajh lena k wo hu main..."
Main Ro bhi nHi skTa, kiu k HanSy ge DuNia
NaKaam Chahat pr, TaaNy kasy ge DuNia
Koi Daikhy Mairi, ByBasi ko ZaRa
Ashq Ankhaon main hy, DiL hy GhaM sy bhara
Honto p Muskan hy...!
barhayin meri payas ko aksar teri ankhain
sahra mera chahra hay..samandr teri ankhain

mumkin ho tu ik taza ghazal aur b kah lon
phir orh na lain khawb ki chadar teri ankhain

yun Daikhty rahna usy acha nahi mohsin
wo kanch ka paikar tu pathar teri ankhain
Kitnay din beet gayay hain Daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain Daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai Daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara Daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia Daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai Daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai Daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say Daikhtay hain tumhain Daikho to sahi