Bhula SMS Messages292 messages

Mainu yaar-yaar karde rahe,,
es yaar ne sanu rula dita,.
hora ton ki umida si,jad yaar ne hi Bhula dita,
mudke dosti nahi karni main,menu yaar ne sayana bana dita.
Jeenu dil dai vich vasaaya assi
ek pal na kade Bhulaya assi
bada loka kolo lukaya assi
o raaj bewaffa hai
mein taaz banava kidae laie
meri mumtaaz bewaffa hai meenu
Kade Yaad Na Kita Uhne Sanu,
Assi Hi Apni Yaad Dawayi Gaye,
Kinj Kara Aitbaar Zindgi Da,
Jad Apne Hi Sanu Bhulayi Gaye,
Sade Nal Hoyi Bekadri Par,
Asssi Apna FARZ Nibhayi Gaye….!!!!!!!
Mill jaye koi Naya to Hamein na Bhula dena
Koi Rulaye Tumhein to Hamein Yaad kar lena
Dost Rahange umar bhar Tumhare
Tumhari Khushi na sahi Gham hi Baant lena
Bheegy Mosam Ki Bheegi Si Raat
Bheegi Si Yaad
Bhuli Hui Baat
Bhula Hua Waqt
Wo Bheegi c Aankhai''n
Wo Beeta Hua Saath
Mubarak Ho Aap Ko
December Ki Pehli Barsaat
hazar dur sahe muj se,mai nahe Bhula...

wo aik pyar ka lahja wo ik dua tyri.
Mumkin Ho Aap Say Tu Bhula Dejeyey Mujhe
Pathar Pay Hoon Lakeer Mita Deejeyey Mujhe
Har Roz Mujh Say Taza Shikayat Hay Aap Ko
Mein kya Hon Aik Bar Bata Dejay Mujhey
Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
bahut mushkil hota hai dil ko samjhana.
ye zindagi to beet he jayege,
bus mushkil hota hai kuch palo ko Bhulana..
Koi aisa na mila jispar duniya luta dete,
har ek ne dhoka diya kis kis ko Bhula dete?
Apne dil ka dard dil mein hee dabaye rakha,
karte bayaan toh mehfil ko rula dete...
Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai

Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai

Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai

Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti hai

Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash''heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.