Koi aisa na mila jispar duniya luta dete,
har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete?
Apne dil ka dard dil mein hee dabaye rakha,
karte bayaan toh mehfil ko rula dete...
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
Teri bewafaayi ka kissa jab jab yaad aayega
mere tan badan mein ek aag si bharkaayega
jo tu ne kiya koi dushman bhi nahin aisa karta
dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega
tujh say woh kuch paya
jo kuch main nay chaha
sukh kay pal
chahat ki gharyan
etebar kay rutbay
hum sa maghrur kiya tou nay kabhi dekha hai ?
logun nay tou jhooti nabuwat ka dawah kiya
Hum sa khuda !!!!
khudai ka dawa kerta hae
dekh jannah !
teri muhabbat main
hum kitnay maghrur howay
Bheegi Palakain
AAnkhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat“te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti Ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta hoon