Bhula SMS Messages292 messages

Kis Baat Ki Sazaa
Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko Bhula deta hai
Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata main tujhay apnay dil say kaisay Bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay Bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab-e-furqat ka jo haasil hai ussay kaisay Bhula doon

Talaash-e-raahat-e-hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay Bhula doon

Wohi to yaad thhi shaadaab wo hi yaad hai shaadaab
Rahay gi yaad wo shaadaab ussay kaisay Bhula doon..!
Yunhi Fasslon Ko Sajay Rakh.
Yehi Intazar Rehne De.

Mere Zehen-o-Dil K Sakun Per.
Mera Ikhtiyar Rehne De.

Teri Chahto Ka jo Dard Hai.
Ye Sub Khushi Se Qabool Hai.

Meri Chashm-e-Num Ka Guma Na Kar.
''Muje Askh Baar Rehne De.

Teri Bebasi Baja Sahi.
Meri Khush Fehmi Bhi Galat Nahi.

Tujhe Har Qadem Per Khushi Mile.
Mujhe So-Gawaar Rehne De.

Meri Guftugu Me Jo Dard Hai.
Wohi Dard Mera Naseeb Hai.

Main Bhula Chuka Hon Dard Ko.
Mujhe B-Qaraar Rehne De.
Sapny hain
Yadain hain or
bohat kuch..

Tum ho tumhari
Batain hain or
Bohat kuch..

Nahi chahty hum
Tum ko Bhulana..

Magar
Dori hy ek
Majbori hy
Or bohat kuch!
Uss ne khat meiN
Ishq ka matlab poochh liya hay
Mainay likha hay!
Jab koi chehra
Dhiyaan meiN aa kar
Mann aangan meiN phool khilaa day
Jab koi naam laboN ko chhoo kar
DharrkanoN ko tarteeb Bhulaa day
Jab koi jazba kaar-e-junooN say
Aatish ko gulzaar bana day
Lekin itna dhiyaan meiN rakhna
Koi siraat-e-ishq say guzray tab khultaa hay
Ishq say pehlay ishq ka matlab kab khultaa ha
Hum nay kisi ki yaad may rona he choor diya
Apni zindagi ko talash karna he choor diya
Sab beeti hui batain Bhula dee hum nay
Ab dil may mazii bsana choor diya hum nay
Kantoon say bhar detay hain log daman
Hum nay anghan may naey phool khilana he choor diya
Kabhi na mangain gay bheek kisi k pyaar ki
Isi liye hum nay pyaar karna he choor diya..
Kuch fasle sirf aankho se hote hai,

dil ke fasle to bato me hote hai.

Hum lakh koshish kare Bhulane ki,

par kuch rishte sanso se jude hote hai
Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain
Gali Main Dard K Purze Talaash Karti Thi
Maire Khatoot K Tukre Talaash Karti Thi

Bhulae Koon Azyat Pasandiyaan Us Ki
Khushi K Dhair Main Sadmey Talaash Karti Thi

Ajab Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar K Toote Patey Talaash Karti Thi

Ghuma Phira K Judai Ki Baat Karti Thi
Hamaisha Hijar K Harbey Talaash Karti Thi

Duain Karti Thi Ujre Howe Mazaroon Par
Bare Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataaya Hai Badloon Ne
Wo Laut Aane K Raaste Talaash Karti Thi
Hum Dard ke Maron ka,
Hum Dard ke Maron ka,
Itnaa Hi Fasanaa Hai
Peene ko Sharab-e-Ghum,
Dil Ghum ka Nishanaa Hai

Dil Ek Khilauna Hai,
Taqdeer ke Hathho mein
Marne ki Tamanna Hai,
Jeene ka Bahanaa Hai

Deten Hai Duwaaen Hum,
Duniya ki Jafaaon ko
Kyoon Oonko Bhulayen Hum,
Ab Khud ko Bhulanaa Hai

Hans Hans ke Baharen To,
Shabnam ko Rulaati Hai
Aaj Apni Muhobbat par,
Dariyaa ko Rulanaa Hai
Shiddatain...

Bay tahasha hai tujhay yaad kia
Aur Bhulaya bhi bohat hai tujh ko
Sari rounaq hi teray dum say hai
Aur teray bikhray huay ghum say hai

Jis qadar
Mainay talluq tera mehsoos kia
Itni gehraayi tu rohoun main hua karti hai
Jis qadar
Mainay teri zaat ko khud main paaya

Itni yaqtaayi kahan milti hai
Faaslay waq''atain kho bethay hain
Doriyaan pheeki parheen
Itni shiddat say tujhay socha hai
Itni shiddat say tujhay chaha hai
Shiddatain ishq ki miraaj hua karti hain!!
Dukh chhupay hoay hain hum dono
Zakham khaay hoay hain hum dono
Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aay hoay hain hum dono
Tu kabhi chandani thee dhoop that main
Ab to saay hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary ko paa kar bhee kuch ganwaiy hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukay haoy hain hum dono
Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab Bhulay hoay hain hum dono
Ishq aisa kahan ka