Apno SMS Messages119 messages

Raat bhar aankhon main raha jashan ka sama
tum samne mere they kisi khuaab ki tarah,

Charon taraf phoolon main ek raqs tha bapa
saba bhi ker rahe they gulon sey utkhelean,

Thein titlian fiza main sabhi tairte hue
phoolon ka rang churate thein magar ghare ghare,

Rangon amin ek rang bara shaandaar tha
us amin bhi apne khuaab ke jaisa khumaar tha,

Qadmon main mere phool they aur sar per saibaan
hathon main tera haath tha khush tha yeh kul jahan,

Tha qos-o-qaza rehguzar apney pyar ke
jannat ka ek baagh tha sApno ki raat thi,

foren hi aankh khul gayi khushboo ke lehar thi
phir neend main kho jaaon mein koshish yehi rahi..!
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote
ss dil ki rahoon main,...
Iss dil ki rahoon main,...
Apno main sApno main,.....
Palko ki chilman main,....
ashko ke ansoon main,.....
Muskuratey hoton main,....
har haseen chhre main,....
Har lamhe yadoon main,....
khoobsorat muasam main,...
Phootti kaliyon main,.....
khiltey phoolon main,.....
Suraj ki kirno main,......
dhoop main saye main,.....
Karaktey badal main,......
baarish ki bondoon main,..
Dhalti shamoo main,.......
tanha ratoon main,........
Raat ki tariki main,......
chanda ki roshni main,....
Taroon ki jhilmil main,...
khushboo main sanso main,.
Un kahi batoon main,......
payar se mohabbat main,...
Dhonda jaahaan main,......
PAYA TUJH KO ANKHON MEIN!!!!
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sApnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Mere Aanso Mere Ander Girtey Hain...
Jaise Darya Beach Samandar Girtey Hain...



Teri Yaadein Wo Tufaan Uthati Hain...
Aik Aik Kar Ke Sare Manzer Girtey Hain...



Kitni Lehrain Shero Mein Dhal Jati Hain...
Souch Ke Pani Mein Jab Pathar Girtey Hain...



Hum Ne Thokar Kha Kar Chalna Sekha Hai..
Aur Hain Wo Jo Thokar Kha Kar Girtey Hain...




Roone Wale... Ye Tuj Ko Malum Nahi...
Tere Aanso Mere Dil Par Girtey Hain...



Tum Bas Us Ka Rog Laga Kar Bheatey Ho...
SApnoo Ke Ye Ghar Tu Aksar Girtey Hain...
Jinhe dhoondte hain sApno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sApno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain
"intezaar"
Hum jinka "muntazar" karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka "muntazar" hum karte nahi hain
"intezaar"
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Janta Hoon Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apnoo Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batein Hain Bas Fasanay Say “
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge Apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Chora Hai Mere Yaar Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Hasna Chor Doon
Loota Hai Duniya Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Jeena Chor Doon
Thukraya Hai Apnon Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Chahna Chor Doon
Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard Apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki woh dekh rahe hai kinare se,
Hum doob bhi rahe hai to koi baat nahi
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har Phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jata Jata K Muhabbat,

Dikha Dikha k Khaloos,

Boht Kareeb se Loota hY.


''''Apno''''

Ne mujhe.